Forums > Poetry / Ghazal Corner > dil se!
tariqjavaid


Age: 61 Male
4618 days old here
Total Posts: 5615
Points : 209

Location:
Quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : dil se!
Mein dil se baatein kerta tha,
Dil mujh se baatein kerta tha,

Mein uski sunta rehta tha,
Wo meri sunta rehta tha,

Hum dono apni apni baatein,
Ik dooje se kehte the,

Or ik dooje ki baaton per,
Hum dhairon hunste rehte the,

Wo mere dard ko sehta tha,
Mein us k dard ko sehta tha,

Phir dil ne mujh se chaal chali,
Wo teri raah pe chal nikla,

Ab mein bhi rota rehta hoon,
Aur dil bhi rota rehta hai.

no likes.

Posted on October, 25 2012 02:49:09 PM


saim14399


Age: 31 Male
4463 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Us Soch Main Hon Dekhiye Dete Hai
Kiya Faraib,
Wo Phir Se Mil Rahe Hain Bari Sadgi Ke
Sath.

no likes.

Posted on October, 27 2012 12:26:24 AM

riabest


Age: 32 Female
4244 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Nikal aty hain ansu rone se pehly,
Toot jate hain? sab khawb sone se pehly,
kehty hein k pyar ik saza hy,
kash koi rok sakta pyar hone se pehly..

no likes.

Posted on November, 09 2012 02:33:59 PM

sahilgee169


Age: 30 Male
4211 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
tum chup rahe payaam-e-muhabbat yahii to hai
aankhen jhukin nazar kii qayaamat yahii to hai
mahafil main log chauNk paDe mere naam par
tum muskuraa diye merii qiimat yahii to hai
tum puchhate ho tumne shikaayat bhii kii kabhii
sach puuchhiye to mujahko shikaayat yahii to hai
vaade the beshumaar magar ai mizaaj-e-yaar
ham yaad kyaa dila’aiN nazaakat yahii to hai
mere talab kii had hai na tere ataa kii had
mujahko tere karam se nidaamat yahii to hai

no likes.

Posted on November, 09 2012 03:30:25 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4261 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Khud se bhi torr chuka hoon mein taluq apna,
Ab meri raah mein haayel koi deewar nahi.

no likes.

Posted on November, 09 2012 05:11:58 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4242 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
A GENIUS
Is A Person
Who Can Do For
$1 What Any Fool Can
Do For $100?
-As Such V Complete
Syllabus In 1 Day,
That Lecturers
Try In 1 Semester !!

no likes.

Posted on November, 10 2012 09:37:15 AM

Rohama


Age: 30 Female
4257 days old here
Total Posts: 9029
Points : 340

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Yehi Bohat Hai Ke Baitha Hay Sar Jhukaye Huye,
Mujhey Ujaar Ke Wo Shakhs Sharam’sar To Hay..


no likes.

Posted on November, 11 2012 02:32:00 AM

salubhai169


Age: 30 Male
4242 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Search:
My feelings
Searching..
Found!
Loading..
¡¡¡¡
10%
¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡
50%
¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡¡
100%
Done!
Result: - Missing You :-)


no likes.

Posted on November, 11 2012 08:37:34 AM

sahilgee169


Age: 30 Male
4211 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
JIndgi gujri kisi raj ke sath
Umer roi mager atraj ke sath ,
Ab to bas ik hi khavaeish hai ,
Mot aay to mager andaj ke sath

no likes.

Posted on November, 11 2012 09:41:01 AM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4261 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Mohabbat farzz hoti ja rahi hai,
Kisi ka qarzz hoti ja rahi hai,
Badan ko chaatt le gi ab yaqeenan,
Judaai marzz hoti ja rahi hai..

no likes.

Posted on November, 11 2012 06:35:57 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4244 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Lo me ankhen band kie leti hon abb tum rukhsat ho,
Dil to jane kia kehta hai lakin dil ka kehna kia..

no likes.

Posted on November, 11 2012 08:55:29 PM

riabest


Age: 32 Female
4244 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Wohi Kaarwaan, Wohi Raastay, Wohi Zindagi, Wohi Marhalay -
Magar Apne Maqaam Par Kabhi Tum Nah!n Kabhi Hum Nah!n,,

no likes.

Posted on November, 12 2012 12:01:54 AM

bawa125


Age: 33 Male
4241 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Saa'ns tak bhi nahi'n lete tujhe sochte hue.
ham ne iss kaam ko bhi kal pe utha rakkha hai.

no likes.

Posted on November, 12 2012 11:34:06 AM

salubhai169


Age: 30 Male
4242 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
koi mujh ko mera bharpur sarapa la de
meray bazu,meri ankhe,mera chehra la de

naya mausam meri binai ko taslim nahe
meri ankho ko wohe khawab purana la de

koi khahish nahe tuj se ay meri umar e rawan
mera bachpan,mery jugnu,meri gurya la de

no likes.

Posted on November, 12 2012 11:52:56 AM

sahilgee169


Age: 30 Male
4211 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,

Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.

no likes.

Posted on November, 12 2012 01:00:02 PM

Rohama


Age: 30 Female
4257 days old here
Total Posts: 9029
Points : 340

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
ishq Ne hame Benam kar Diya
Har Khushi se Anjan Kar diya Hamne Khbhi Nahi chaha Ki
Hame Ishq Hu
Par unki Ek Nazr ne Hume Nilam
Kar Diya

no likes.

Posted on November, 12 2012 05:47:50 PM

bawa125


Age: 33 Male
4241 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Dil Dukhaya Karo, Ijazat Hai... Tumhey..
Bhool Jaane Ki Baat Mat Karna.....

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:31:37 AM

riabest


Age: 32 Female
4244 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
woh samar tha meri duyaaon ka usey kis ne apna bana liya,
Meri aankh kis ne ujaar di mera khawb kis ne churaa liya,
Tujhe kya batayen ke dilnasheen, tere ishq mein, teri yaad mein,
Kabhi guftagu rahi phool se, kabhi chaand chat pe bulaa liya,
Meri jang ki wohi jeet thi, meri fataah* ka wohi jashn tha,
Main gira to dorr ke us ne jab mujhe bazuyon main uthaa liya,
Meri chaand chooney ki hasrtain, meri khushu hone ki khawhishain,
Tu mila to aesa laga sanam, mujhe jo talab thi woh paa liya,
Mere dushmanon ki nazar mein mera qadd* bara hi raha sadaa,
Meri maan ki pyaari duyaaon ne mujhe zilaton* se bachaa liya,
Mujhe pehle pehle dekh kar jo tera haal tha mujhe yad hai,
Kabhi jal gayi teri rotiyaan, kabhi hath tu ne jalaa liya,
Meri diary meri shayari Shahbaz parh ke woh ro parri,
Mere paas aake kaha mujhe, bara rog tu ne laga liya.

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:57:06 AM

aarzoo


Age: 31 Female
4244 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
sach Kabhi Jo Ham Na Hongey Jaan Bohot Pachtaogey
Phir Zara Si Baat Par Apney Hi Aansu Main Beh Jaogey
Yaad Karogey Har Wo Pal Jo Saath Hmarey Guzra Tha
Dil Hoga Bechain Tumhara Chain Kahi Na Paogey
Saari Rasmain Saari Baaten Saari Duniya Saari Mehfil
Pal Pal Bujhta Dekhogey Pal Pal Jalta Paogey
Kis Tarha Larh Paogey Apney Un Veeraano Sey
Khouf Barheyga Phir Tumhara Khud Ko Tanha Paogey
Un Labo Ko Chu Leta Tha Aankho Main Beh Jaata Tha
Kon Mareyga Itna Tumpar Jesa Ki Main Mar Jata Tha
Zulf Tumhari Uljha Kar Main Raat Siyah Banata Tha
Rukh Tumhara Pa Kar PhiR Chaand Kahi Kho Jata Tha
Har Shaam Tumhaari Thi Mujsey Har Qissey Mere Jabtey They
Pal Pal Rutha Kartey They Pal Main Hi Man Jaatey They
Jab Yaad Karogey Saarey Qissey, Saari Baateyn, Saari Qasmain
Dil Tumhara Tooteyga Phir, Choor Choor Ho Jaeyga
Hardam Yaad E Teer Tumharey Dil Main Tees Uthaeyga
Kya Karogey Bolo Phir Tum Jab Kuch Nahi Ban Paeyga.

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:26:15 PM

Lioness


Age: 31 Female
4225 days old here
Total Posts: 607
Points : 142

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Kaisey andaz.e.shouq mein keh diya tum ne alvida..
Jaisey sadiyon se tere dil pe koi bojh thy hum

no likes.

Posted on November, 14 2012 10:28:04 AM

Tayyab96


Age: 28 Male
4417 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
ab kyaa kahe.n ye qissaa puraanaa bahut huaa

Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
ai marg-e-naagahaa.N teraa aanaa bahut huaa

ham Khuld se nikal to gaye hai.n par ai Khudaa
itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa

ab ham hai.n aur saare zamaane kii dushmaanii
us se zaraa rabt ba.Dhaanaa bahut huaa

ab kyo.n na zindagii pe muhabbat ko vaar de.n
is aashiqii me.n jaan se jaanaa bahut huaa

ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa

kyaa kyaa na ham Kharaab hue hai.n magar ye dil
ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa

kahataa thaa naaseho.n se mere muu.Nh na aa_iio
phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa

lo phir tere labo.n pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa


no likes.

Posted on November, 15 2012 01:27:46 PM