Forums > General Talks > Ghazal's
umair33


Age: 31 Male
4844 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Subject : Ghazal's
Post Your Ghazals Here Plz

no likes.

Posted on February, 17 2011 04:35:19 PM


Akram


Age: 36 Male
4817 days old here
Total Posts: 68
Points : 74

Location:
NAWAB SHAH, Pakistan

Status : Offline
KANWARI GAZAL:AY SARD SARD RAAT MUJHE BIVI CHAHIYE KARNI HY DIK KI BAAT MUJHE BIVI CHAHYE ULJHI HUI FIRAQ KI RAATON K DARMETAN TANHA HY MERI ZAT MUJHE BIVI CHAHYE BACHPAN KI ZID BAHI JAWANI KI BAT HY AY MEREY LIVLY MAAN BAAP MUJHE BIVI CHAHYE CHEHRY SY BERUKHI KA NAQAB UTAR DO AB MAAN JAO BAAT MUJHE BIVI CHAHYE DEKHI HY MAIN NE DULHAN MUJHE BRAAT CHAHYEK KR DI HE AKHRI BAT MUKHE BIVI CHAHYE DELICAY TO ALL KAVWARI PARTY?

no likes.

Posted on February, 24 2011 01:46:07 PM

owaisahmed55


Age: 36 Male
4833 days old here
Total Posts: 10102
Points : 122

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
gazal mare gi agar yahan post krdya usy .^_*

no likes.

Posted on February, 24 2011 03:21:24 PM

Hina


Age: 39 Female
4834 days old here
Total Posts: 6841
Points : 152

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Suno.. aay chand c larki.

Abhi tum titliyaan pakro.

Ya phir Guriyon sy khelo tum...

Ya phr masoom c Aankhon sy dheron khwab daikho tum..

Faraz-o-Faiz-o-Mohsin, ki kitaben mat abhi prhna..,

Ye sb lafzon k sahir hein.

Tumhein uljha k rakh dein gy

Tumhein Maloom he kab hai..

Mohabat k libady mein..

Hawas aur Hirs hoti hai..'

Ye insanon ki dunya hai.

Magr in sy kaheen barh kr.., yahan wehshi drinday hein...'

Wo wehshi jin ki Aankhon me..

Machalty piyar k peechy.

Hawas aur Hirs hoti hai..'

Abhi kachi kalii ho tum...,

Abhi kaanton sy mat khelo..,

Abhi apni Hatheli par..

Kisi ka Naam mat likho...,

Abhi apni kitabon mein

gulaabi phool mat rako...

Abhi Sheron Main Mat Oljho..

Abhi to Omr Baki Hay...

Abhi Khud Ko Smbhalo tum...

Abhi mat Gungunao Tum..

Abi Sy Ishq Mat Socho...

Abi Sub Bhool jao tum...

Suno A Chaand Si larki...


no likes.

Posted on February, 25 2011 10:21:15 PM

Hina


Age: 39 Female
4834 days old here
Total Posts: 6841
Points : 152

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Mat iss khuwab ke pichey bhago
pathar ban kar reh jao gi
tez bohat hei waqt ka dariya
tum bi iss main beh jao gi
yeh nashtar jesi ruswai
bolo kese seh pao gi
kiya bachon jesi baton se
tum sab ko behla sakti ho?
kiya tum apney mann ki montiq
duniya ko samjah sakti ho?
khuwabon jesi batain kar ke
kiya taberain pa sakti ho?
baap ki shafkat, maann ki mamta
kiya sach much thukra sakti ho?
jis ghar main parwaan charheen tum
os ghar ko chor ke a sakti ho?
aisi batain na mumkin hain
bas tum apni tanhai main
hijr ke geet ga sakti ho!

no likes.

Posted on February, 25 2011 10:21:53 PM

Hina


Age: 39 Female
4834 days old here
Total Posts: 6841
Points : 152

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Muhabbat rooth jaye to...

Usay baahon main le lena

buhat hi pas kar k tum

usay janay nahi dena...

wo daaman bhi chhuraye to

usay tum qasam de dena

Dilon k muamlon main to

Khataen ho hi jati hain

Tum en kahtaon ko

Bahana mat bana lena

Muhabat rooth jaye to

Uasy jaldi mana lena....

no likes.

Posted on February, 25 2011 10:22:24 PM

aroonawarsia2007


Age: 42 Female
4829 days old here
Total Posts: 182
Points : 223

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
itna time nahin hie k main ghazlain paste karoon

no likes.

Posted on February, 25 2011 10:23:00 PM

umair33


Age: 31 Male
4844 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
@aroonawarsia2007
Phr Post Dene Ka Faida.........?

no likes.

Posted on February, 25 2011 11:09:06 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Suno Tum Kuch Nahi Kehna
Yahan Koi Nahi Sunta
Ya Dasht-o-Sahra Ke Matti
Yahan Koi Phool Nahi Chunta
Suno Tum Bass Sabar Kerlena
...Un Saray Ghumoon Per
Yahan K Loag Aesay Hayn
Unhay Kise Ka Dukh Nahi Dikhta
Suno Jab Bohat Toote Jaoo To
Tum Kuch Dair Ro Lena
Yahe Dastoor-e-Duniya Hay
k Yahan Per Dil Nahi Miltay
Wafa K Patay Nahi Khiltay
Sunoo Ab Bhi Sambhal Jaoo
Mayn Tum Say Durr Hon Kitna
Mujhee Abb Yaad Maat Kerna
Meri Qismat He Ase Hay
Suno Tum Kuch Nahi Kehna
Yahan Koi Nahi Sunta..!

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:21:43 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
koi pochay ga to kiya bataen gay sabab,
kyun juda ho gaye is tarah chupke s hum,
milte to rahen gay hm kisi na kisi mor par,
kab talak ashkon ko chupate rahen gay hm,
muhabat ko chupaya na geya hy ab tk,
...batao is ko kesay mita paey gay hm,
jisay hm ne chaha wohi na mila,
kisi or ko chah kr kiya kren gay hm,
zindagi yun b aazmaye gi humen amar,
aaj usi k hathon ruswa ho gaye hum....

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:22:04 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Wo chahnay walon ko mukhatib nahi karta,

Or tark-e-ta'aluq ki main wzahat nahi karta,

wo apni jfaon pay nadim nahi hota,
...
Main Apni wfaon ki tijaart nahi karta,

Khushbu kisi tashheer ki muhtaaj nahi hoti,

sacha hun mgar Apni wkalat nahi karta,

Ehsaas ki soli pay latak jata hun aksar,

Main jabr.e.musalsal ki shikayat nahi krta,

Main azmat.e.insaan ka qayaal to hun,

"FARAZ"

Lekin kbhi bandon ki ebaadt nahi karta..

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:22:24 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Ab koi herf-e-dua kaam nahin
aaye ga
Ab woh mehtab sar-e-baam
nahin aaye ga
Ab dhalay ga na kabhi hijr ka
...jalta sooraj Ab kabhi wasal ka hangaam
nahin aaye ga
Jaa key us koochay mai yunhi
palat aain gay
Waqt-e-rukhset koi dou gaam
nahin aaye ga Us ki galion mai hamain koi na
pehchany ga
Koi taa'na koi dashnam nahin
aaye ga
Dil key darwazaiy per dastak
nahin day ga koi Koi naama koi pegham nahin
aaye ga
Magar aey bad-e-saba us say
yeh jaa ker kehna
Is kahani mai koi naam nahin
aaye ga

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:22:45 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Yahan Khamosh Nazron Ka Nazara kOn Banta Hy

Boht Gehre Samndar Ka Kinara kOn Banta Hy

ChaLo Hum Dekhte Hein Ab Khud Ko Barbad Kr K B
...
K Humari Brbadiyon mE B Hamaara kOn Banta Hy

Bina PhaL K Drakhton Ko Yahan pE Kata Jata Hy

Kisi B Be-Sahara Ka Sahara kOn Banta Hy

kOi Shesha Agar Tute Tu Wapis Jur nhi skta

Mohabat mE Fana Ho Kr Dobara kOn Banta Hy

ChaLo Phir Aazma Lo Tm Sabhi Apne Pariyon Ko

Tmhre Dard mE Dekhein Tmhra kOn Banta hay..
See More

January 21 at 6:16pm

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:23:05 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Tum ko maloom bhi shayad kabhi ho k na ho,
Meri raatein teri yadoon se saji rehti hain,
Meri sansein teri khushbu mein basi rehti hain,
Meri aankhon mein tera sapna saja rehta hay,
Haan mere dil mein tera aks basa rehta hay,
...Tum ko mere aangan mein lage phool gawahi dain gay,
Main ne arse se kisi phool ko dekha hi nahin,
Tujh ko socha hay to phir tujh ko hi socha hay faqat,
Tere siwa kisi aur ko socha hi nahin,


no likes.

Posted on February, 26 2011 01:23:23 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Wo chup rahe bhi to mujhko sunai deta hai,

Har ek chehra ab uska chehra dikhai deta hai,

Kisi bhi cheez ki dil me talab nahi baqi,
...
Main khak mangun to mujh ko khudai deta hai,

Muje b Ronk-e-duniya pasand hai lekin,

Uska khayal mujhe kab rihayi deta hai,

Wo ek pal bhi mujhe chorta nahi tanha,

Kabhi dekhai kabhi wo sunai deta hai...

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:23:41 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Naksh yadon k mitati hy to ro parti hy
Wo mery khat jo jalati hy to ro parti hy

Wo kai pehr jo soti thi mere seeny par
Rat ankhon mn bitati hy to ro parti hy
...
Log pochen jo kbi gehri udasi ka sabab
Bat logon sy chupati hy to ro parti hy

Yun hi bethe hove yadon ki kitabon sy kbi
Waqat ki dhul urati hy to ro parti hy

Yad krti hy mujhe tot k us lamhy wo
Sham chehra jo dekhati hy to ro parti hy

Wo bary zabt bary hosly wali larki
Gham ko tehrer bnati hy to ro parti hy

Mn ny jo phol usy payer sy bejhy thy kbi
Us ko balon mn sajati hy to ro parti hy....

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:23:56 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Kaisay kahoon k apna bana lou
mujhey
bahoun mein apni sama lou
mujhey
Bin tumharey aik pal bhi ab kat-
...ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou
mujhey
Zindagi tou woh hai sang
tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura
lou mujhey
Meri sab say gehri khuwahish
hou puri
Tum agar pass apnay bula lou
mujhey
Yeh kaisa nasha hai jou behka
raha hai
Tumhara hoon mein tou
sambhalo mujhey
Najanay phir kaisay guzrey gi
zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum
nikalo mujhey

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:24:39 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Tum Bin guzar to jay ge zendgi,
Par hum je na paein ge Tum Bin,

Hazaron sitaron ki bheer mei b dekho,
Ye chand kitna tanha hai Tum Bin,
...
Rahon kahein b kisi k saat b,
Par mai hamesha Udas hon Tum Bin,

Agr charaghon ki roshani mei b rahon mai,
Par meri Zendgi mein andhra hai Tum Bin

Bahron ka masom to hai gulshano mei
Par pholon mei khushbu nhi hai Tum Bin

Mera sb kuch to tum ho,
Mai to kuch nhi hon


no likes.

Posted on February, 26 2011 01:24:58 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Kis lye ab udas Bethi ho

Jo wo aik shaks dastrs mn tha

Us sy milna tmhare bs mn tha
...
Uski ankhen tmhari ankhen then

Uski baten tmhari baten then

Uska chehra tmhara chehra tha

Uske dil pr tmhara pehra tha

Uski hr sans mn bsi thi tm

Uske hr lafz mn khili thi tm

Wo jo kehta tha be-qrari hy

Meri sari wafa tmhari hy

Kitni baten mn keh nh sakta

Dor tm sy mn reh ni sakta

Tb tm uske hr jumly ko

Tb tm uske hr jazbe ko

Aik hansi mn uraya krti thi

Sun k tm bhol jaya krti thi

Uski ankhen dekhti jb wo be nyazi k dard sehta tha

Bhol jana tmhari adat thi

Apni tanhai k gale lag kr

Sare ansu wo ro gia ak din
Ak pathr sy dil lagi kr k
Khud b pathr ka ho gia ak din

Ab wo tm sy to kuch ni kehta
Benyazi k dukh ni sehta
Uski ankhe ab uski ankhen hn
Uski baten ab uski bten hn
Bhol jana tmhari adat thi
Uski baton ko bhol jao na
Ab wo ak shaks dastrs mn nh
us sy milna tmhare bs mn nh
Kis liye ab udas bethi ho.

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:25:19 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
umari aour kitni ghazalain chahiyen

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:25:47 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4827 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
agar kaho to ghalib ka pura dewan past kardon

no likes.

Posted on February, 26 2011 01:26:07 PM