Forums > Poetry / Ghazal Corner > Abhi waqt hai . . . .
soopersam


Age: 40 Male
4659 days old here
Total Posts: 29
Points : 12

Location:
Muzaffargarh, Pakistan

Status : Offline
Subject : Abhi waqt hai . . . .
Ye jo sham hai gham-e-hijr ki,
Ye sanwar dy abi waqt hai.
Mujhy yaad kr, mjhy dhoond ly,
Mujhy pyar dy abi waqt hai.
Ye lahoo lahoo c jo raat hai,
Esy is trah se tamam kr,
Kaf-e-ishq pe jo dhari hai jaan,
Usy waar dy abhi waqt hai.
Woh jo barishon ki naveed ho,
Mery gard gard wajood pe,
Mery chara gar woh sakoon dy abhi waqt hai.
Woh jo sa'atainabhi ayein gi,
Karry imtehan ki hain"Mohsin"
Ye khafa khafa sa jo waqt hai,
Ye guzar dy abhi waqt hai.

no likes.

Posted on September, 05 2011 06:51:33 PM


Tayyab96


Age: 28 Male
4425 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana,
Kisi ki ankhon main ratjagon ke azaab ayen to laut ana,
Abhi neyi wadiyon, naye manzron main reh lo magar meri jaan,
Yeh saarey aik aik karke jab tum ko chorr jayen to laut ana,
Naye zamanon ko qurb orrhey, zayeef lamhey, niddhaal yadain,
Tumharey khawbon ke band kamron mein laut ayen to laut ana,
Agar andheron main chorr keer tum ko bhool jayen tumhare sathi,
Aur apni khatir hi apne apne diye jalayen to laut ana,
Meri woh batain to jin pe be’ikhtyaar hanstaa tha khil’khilaa kar,
Bicharney wali meri woh batain kabhi rulaayain to laut ana.

no likes.

Posted on November, 15 2012 02:38:46 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4269 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Ik ghazal meer ki parhta hai parrosi mera,
Ik nammi si meri deewaar main aajati hai.

no likes.

Posted on February, 05 2013 01:36:08 AM