Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'jawab'

Wo tum na thay

Wo tum na thay ik khayal tha..
meri soch ka hi ik kamal tha..
Wo mohabbatain wo chahatain..
meri uljhanon ka hi jaal tha..
mere dil mein thien jo ronaqain..
wo tera hi husn-o-jamal tha..
mujhe jawab jis ka mila nahi..
wo aisa hi ik sawal tha..
use yaad kaise na karain hum..
use bholna tou muhal tha..
wo aj gaya tou ahsas hua..
kis kadar mujhe us se pyar tha..
ab uss ki kia main misaal don..

WO AP APNI MISAAL AP THA....!!!!

442 chars (3 sms)


Tumhari zulfein tumhari

Tumhari zulfein tumhari palkein
Tumhari aankhein tumhara chehra
Tumharay shaanay
Surahi daar garden
Kalion mein khanktay kangan
Hinaai haathaon mein unglion
Ki haseen purrain k jin mein
Sandal mehak rahi hai
Yeh naram saanson ki gungunahat
Qadam uthao tu dharkanein sath
Chorti hainbadan ka har zawiya qyamat
Nahi tumhari missal gori
Kamal ho tum kamal gori
Tunicsay sab kuch haseen hai
Lajawab hai par
Meri nahi hai
Tumhara kuch bhi mera nahi ha

462 chars (3 sms)


Bichartay Wakt Us

Bichartay Wakt Us Ne Kaha Tha,

Na Sawal Krna Na Jawab Milay Ga,

Mujhe Bhol Jana Qrar Milay Ga,

Hum Us Mukam Pr Thay

Na Sawal Kia Na Jawab Mila.

Na Bhool Sakay Na krar Mila

187 chars (2 sms)


Us Ne Mujh Se,

Us Ne Mujh Se,

Poocha Ek Roz,

Tumain Chahne Walon Se,

Dar Kyun Lagta Hai,

Kyun Baghte Ho,

Kyun Khamosh Rehte Ho,

Kyun Tanha Rehte Ho,

Mujay Koyi Jawab Na Mila Kehne Ko,

Bus..!!!

Ek Ansoon Gira Aur Rul Gaya Khak Mein...

246 chars (2 sms)


Nazr me zulmat Badan

Nazr me zulmat Badan me thandak
Jamal kitna ajib sa tha
Me uski chahat me ghr se nikla tou
Haal kitna ajeeb sa tha
Na mene usy khatoot likhe
Na usne meri panah chahi
Dono ko apni bekhudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha
Wo apni raato''n me chand dekhe
Main apni raato''n me usko socho''n
Badalte lamhon me soch ka ye
Visal kitna ajeeb sa tha
Safar akele kr lo ge
Mene poocha tou ro dia wo
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha

448 chars (3 sms)


Nazar me ZuLmat badan

Nazar me ZuLmat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nilka tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
Na os ney meri panah chahi,
Dono ko apni bey khudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha,
Wo apni raton me chand dekhe
Main apni raton main os ko souchon,
Badalte lamhon me souch ka yeh
Visaal kitna ajeeb sa tha,
Safar akelay he kaat lo gey
Main ne poucha tu ro diya wo,

Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha.......

490 chars (4 sms)


Likh Raha Hoon Main

Likh Raha Hoon Main Un Khatto''n K Jawab

Jo k tum Ne Kabhi Likhe Hii Nahi

Un Jawabo''n Main In Ko Rakh Dena

Jo K Tum Ne Kabhi Parhe Hii Nahi

150 chars (1 sms)


Kaho ehsaas hota hy

Kaho ehsaas hota hy

Bicherney ka, bikherney ka, ujerney ka

Ager aisa nahi to kiss liye

be-chain ho itney

JawaB aYa

Sunoo Iqrar hy mujh ko

mujhe ehsass hota hy

Mager itna nahi hota

Yeh dil her pal buhat bekul, buhat muztarib

buhat be-taab hota hy

Mager iTna naHi HoTa

297 chars (2 sms)


Mein chahta hee n

Mein chahta hee na tha lajawab kerna tumhein
Werna jawab mere pas her sawal ka tha
Tumhari jeet se humy khushi hoti hai
Yehi jawaz mere pass apni haar ka tha

161 chars (2 sms)


Kisi Ko APne Aamaal

Kisi Ko APne Aamaal Ka Hisab Kia Dete
Sawal sare Ghalat Thay jawab Kia Dete
Jo Ek Lafz Ki Khusbu ko Na Rakh Saka Mehfoz
Uske Haath Mein Sari Kitab Kia Dete

159 chars (1 sms)


Mohabbaton Main

Mohabbaton Main Shumar Kaisa?

Yaqeen Kaisa?

Guman Kaisa?

Urooj Kaisa?

Zawal Kaisa?

Sawal Kaisa?

Jawab Kaisa?

Mohabbatain To Mohabbatain Hain,
Mohabbaton Main Hisab Kaisa?

193 chars (2 sms)


Har Ek Sawal Ka Usko

Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Deti?
Main Apni Zaat Ka Usko Hisab Kya Deti?
Jo Ek Lafz Ki Khushbu Na Rakh Saka Mehfooz!
Mai Us Ke Hath Mein Puri Kitab Kya Deti?

163 chars (2 sms)


Main bus ek bar

Main bus ek bar la''jawab hua Faraz...!

Kisi apne ne kaha jab kon ho tum?

76 chars (1 sms)


-Uss bewafa larki se sawal-o-jawab-

-Uss bewafa larki se sawal-o-jawab--
Mein ne poucha
Yeh itni barish q baras rahi hai
Tu jawab aya
Tere aansuon se muqabila hai iss ka
Mein jab tufan ka sabab poucha
Tu jawab aya
Teri zaat ki hal-chal se hai mouwazina iss ka
Mein ne jab badal ki garaj ki javaaz chaha
Tu jawab aya
Teri aahaon se moushabihat hai iss ki
Mein ne ghta-toop andhery ke tahjub se dekha
Tu jawab aya
Tere haal-o-mustaqbil ki tasveer hai yeh

430 chars (3 sms)


Ek Tabassum Haza

Ek Tabassum Hazar
Shikwo''n Ka

Kitna Pyara Jawab
Hota Hy ... !!!

70 chars (1 sms)


???? Aaas aankhain adalt adawat Adhi Raat Ajnabi Akhtar allah pak allama Alone ankhein anniversary ansoo Apology april fool attitude Baal bach Badmash balance ki kami believe benazir Bewafa bhutto bird broken heart business cast chahat chale cheat Choose Choot CHUT color Cricket Dadi dard daru defence day dene Devil dieting door doori dost Doste dosto dukhi Duwa ehad EID KA DIN Eid mubarak Eid ul azha enjoy evening Facebook Fahad Faiz Faraz fever fill Fill up flower Friday friends friendship funny Funny sms gaand Gandi Ganja Gazal ghalib Ghazal girl girls golden golden w golden words good morning gussa Hadis hairstyle hand happy birthday haqeqt HATE HEAD heart Hello! hussain i love you If You Really Love Someone Arrange islam jag raha janaza Jism karna kashti Khat Khata Khoshi KHUSHI King Kiss LABO larki Laut aao Lazy level Love Love sms lovely sms lover Manzil Marna Marne wale Married Marrige masjid masoom Maut memory Mera Yaar miss You Sms mohabbat mohsin mola ali molvi morning mother moti mountain MOUT muhabbat nafrat Nahaya Namaaz NARAZ Naseeb natural nature nawaz sharif new york paisa pareshan Pashto pistol question raat ramzan Rape rishty sad poetry Salam sali santa sardar Sehri sharab shia shoaib sindhi topi aur ajrak sindhu socretes songs sorry Success sunday Talent Tanhai tarkhan teachers tera chehra Tere Chehra Thanks to khe train trust umeed urdu Urdu poetry sms uses valentine Veena Wapda Waqar waqt wasi shah What is love wife winter ya allah YE WATAN Your heart was frozen zardari zindagi Zubaida
Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook