Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Apnay hothon par s

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon

475 chars (3 sms)
(Not Rated Yet)
 

Hottest SMS Messages this week

aik larkay nay aik aur larki..

Career is like a light

Hanso Cheeko

Do you know similarity

Pyaar me maut se

ye sub moyasir-e-majood ka g..

Losing The Person

Considering his achievments of

Love is a smoke

If U Would one of

Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook