Subject : Kaash main teray haseen hath ka kangan hota..... Kaash main teray haseen hath ka kangan hotaTu baray piyar se, chaa-o se, baray maaan ke saath Apni nazuk se kalayee main charhati mujh ko Aur betaabi say furqat ke khizaa-n lamhon main Tu kisi soch main doobi jo ghumati mujh ko Main tere haath ki khushbu say mehak sa jata Jab kabhi mood main aa-kar mujhe chooma kartin Tere honton ki main hiddat se dehak sa jata Raat ko jab bhi tu neend ke safar pay jatin Marmar-een haath ka ik takiya banaya kartin Main tere kaan se lag kar kaye batain karta Tere zulfon ko, tere gal ko, chooma karta Mujh ko beatab sa rakhta tere chahat ka nasha Main tere roah ke gulshan main mehak-ta rehta Main tere jism kay aangan main khanakta rehta Kuch nahin to yehi be-naam sa bandhan hota Kash main tere haseen hath ka kangan hota (By Wasi Shah)
no likes.
|