Shaam By Ali Sher

Lyrics Of Shaam from Yadon Mein

shaam ke surmayi andhairon mein
yun meray dil ke daagh jaltay hain
jaisay parbat ke sabz pairron par
barf ke baad dhoop parti hai
jaisay sehra ki rait urr urr kar
ajnabi ka tawaf karti hai

door reh kar jo dil mein rehta hai
woh situm gar bhi ghair kehta hai
kitni masoom arzoo'on ko
iss tarah log torr jatay hain
jaisay dum tortay musfir ko
qafilay waalay chorr jatay hain

aahain bharta hoon ashk peeta hoon
roz marta hoon phir bhi jeetahoon
teri yaadon ki tishnagi abb tak
yun meray dil ko thaam leti hai
jaisay ik taza qabar par baiwa
marnay walay ka naam leti hai

shaam ke surmayi andhairon mein
yun meray dil ke daagh jaltay hain
jaisay parbat ke sabz pairron par
barf ke baad dhoop parti hai
jaisay sehra ki rait urr urr kar
ajnabi ka tawaf karti hai

Song Details

Album/Movie: Yadon Mein
Artist: Ali Sher
Viewed (total): 2634 times

Report Correction?

(Not Rated Yet)
 

Other Lyrics from Yadon Mein album

Chehra
Yadon Mein
Dekha Tha
Toote Aaina

Search Lyrics
e.g.

Top 10 Lyrics by Ali Sher

1 - Yadon Mein - Dekha Tha
2 - Yadon Mein - Yadon Mein
3 - Yadon Mein - Chehra
4 - Yadon Mein - Shaam
5 - Maan Marzi - Chan Sajna
6 - Yadon Mein - Toote Aaina
7 - Maan Marzi - Main Tay Mann Lae Haar, Ali Sher

Latest Additions

Saiyan Bolain
Mumkin Hai
Kaho (Aaj Bol Do)
Hona Tha Pyaar
Dil Janiya
Too Jahan Kahee Bhee Jaye
Soo Janay Do
Mere Humrahi Suno
Kaun Hoon Main
O Mere Khuda