Forums > Poetry / Ghazal Corner > Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao
lailagul


Age: 29 Female
4423 days old here
Total Posts: 174
Points : 67

Location:
islamabad, Pakistan

Status : Offline
Subject : Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao (closed)
Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao
Udaas Shab Ki “Saleeb” Ho Jao
Meri Baanhon Ko Sonp Do
Sab Kuch Meri Khatir “Ghareeb” Ho Jao
Mujh Mein Utro Mere Lahu Ki Tarhan
Meri Rooh Ke “Raqeeb” Ho Jao
Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye
Aao Mere “Tabeeb” Ho Jao
Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch
Aaj Aise “Khateeb” Ho Jao...........!!
(laila gul)



no likes.

Posted on April, 07 2012 11:58:24 PM


urduk


Age: 36 Male
4265 days old here
Total Posts: 71
Points : 35

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Ek zinda laash hoon is tareh yaron ke beech
Koi be-mallah kashti jaise majhdaaron ke beech.

Lamha-lamha chad rahi hai soch ki gahri nadii
Sayaa-sayaa kat rahi hai, raat kohsaron ke beech.

Chod ker jaaun kahan ab zaat ka andha hisaar
Surkhiyan mujhko bulaati to hain akhbaaron ke beech.

Kis liye chiin-ber-jamin ho haath main pather liye
Kaun hai masoom bolo, hum gunaahgaaron ke beech.

Apne paiker se bichad ker fir rahaa hoon der-b-der
Main to eksaaya hoon ' Khalid' serd baazaaron ke beech.

no likes.

Posted on September, 11 2012 05:26:57 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4824 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Bekaar hai har aik hunar shart laga le
Kuch us pe nahi ho ga asar shart laga le
Me shart lagana to nahi chahta lekin
Tu zid hi kiye jaye hai gar shart laga le
Yeh moja-e-khushbu, yeh hawaon ka taranum
Hai us ki yehi raah guzar shart laga le
Ab waqt bohat taiz bohat taiz chale ga
Lamhaat ko lag jayen pe par shart laga le
Jitna bhi tu chahe nazar andaaz kiye ja
Palte gi meri simt nazar shart laga le
Ay jaan_e_wasi kesi ana kesa kesa khasara
Me jaan k haaron tu agar shart laga le..

no likes.

Posted on September, 11 2012 06:30:07 PM

juntalman


Age: 34 Male
4508 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
ufffff
chapnay k chekar main to log bhool jate hayn k topic kia ha


no likes.

Posted on September, 11 2012 09:03:41 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4824 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
juntalman said:

ufffff
chapnay k chekar main to log bhool jate hayn k topic kia ha


Dear Juntalman

meray khayal mein tu ye Ghazals ka topic hai aor me yahan Ghazal hi post kerta hoon

no likes.

Posted on September, 11 2012 09:13:06 PM

saim14399


Age: 31 Male
4478 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Tareekh hazaron saal mein bas itni si
badli hai,
Tab dour tha pathar ka ab log hain
pathar ke..

no likes.

Posted on September, 12 2012 07:00:20 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4824 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Door Hee Door Rahee Bas Mujhse
Paas Wo Mere Aa Na Saki Thee

Laikin Osko Chaah Thee Meri
Wo Yee Bhaid Chupa Na Saki Thee

Ab Wo Kahan Hai Aur Kaisi Hai
Ye Tou Koi Bataa Na Sakay Ga

Par Koi Oski Nazron Ko
Mere Dil Se Mitaa Na Sakay Ga

Ab Wo Khwaab Mein Dulhan Ban Kar
Mere Paas Chali Aati Hai

Mein Osko Takta Rehta Hun
Laikin Wo Roti Jaati Hai

no likes.

Posted on September, 12 2012 07:20:33 PM

saim14399


Age: 31 Male
4478 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Tofan me apne dil ka safina abhi na
daal,
Kia rukh badal rahi ha hawa aur daikh
le.

no likes.

Posted on September, 12 2012 07:39:23 PM

saim14399


Age: 31 Male
4478 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Sochate to bhol jana is qadar mushkil
nahin,
Kaam asan hai magar hum se kahan
hone laga.

no likes.

Posted on September, 12 2012 07:48:29 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4824 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Muddat Se Mera Dil Hai Ke Aabad Nahi Hai
Honton Par Meri Aaj Bhi Faryaad Nahi Hai

Rehta Hai khayaalon Main Merey Aik Hi Chehra
Bas Iss Ke Siwa Kuch Bhi Mujhay Yaad Nahi Hai

Dekha Hai Ujarte Howay Kitnay Hee Gharon Ko
Hai Kon Jo Is Ishq Main Barbaad Nahi Hai

Aik Laher Si Uth’ti Hai Aaj Bhi Dil Main Meray
Iss Laher Ke Uthnay Ka Sabab Yaad Nahi Hai

no likes.

Posted on September, 12 2012 09:49:58 PM

saim14399


Age: 31 Male
4478 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Apnay kirdaar ko mousam SAY
bachaey rakhhna
Lout kar phool maiN wapas nahi aati
khushboo.

no likes.

Posted on September, 13 2012 09:47:15 AM

saim14399


Age: 31 Male
4478 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Bina “Libaas” aaye they Hum sab is
Jahan mein
itna Safar kia Bus ik “Kafan” ki khatir…

no likes.

Posted on September, 13 2012 09:51:22 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4824 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Na jo thum sakay kisi aur say
Main bujhta aik chiragh hoon

Mera room room dard dard
Meray dukh ka sira nahin

Meri laghzishon main pali barhi
Koi khoi kahani bhi hai

To jo sath hai to sukoon naheen
To jo rooth gia to azab hai

meri zindagi hai aik goo mago
mujhay roshni milti naheen

no likes.

Posted on September, 13 2012 09:27:59 PM

saim14399


Age: 31 Male
4478 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Aaksar Mere Dil Mein Uthta Hai Yea
Sawal
Gairoon Se Nibha Kar K Kya Hoogi Wo,
Khush Haal

no likes.

Posted on September, 13 2012 09:32:20 PM

saim14399


Age: 31 Male
4478 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Kaise Ye Mohabbat Ki Shiroat Howi Hai
Khud Mujh Se Juda Aj Meri Zaat Howi
Hai
Jata Hai Usse Simt Meri Soch Ka Dhara
Jis Shakhs Ke Hatho Se Mujhe Maat
Howi Hai

no likes.

Posted on September, 13 2012 09:36:17 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4824 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

no likes.

Posted on September, 13 2012 09:39:47 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4824 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
JUDAA HAI WO MUJHSE ,KHAFA NAHIN
BEBAS HAI WO MAGAR ,BEWAFA NAHIN
KAISE SAMJHAOON TUMKO O YARON
USKI TARAH YAHAN KOI,DUJAA NAHIN

Ye yakin yakin yakin
Yakin hai mujhe uspe uspe uspe
Uspe fida meri jaan jaan jaan
Jaan hi dedun main is pyar mein
Pyar mein jaan se badhkar, tohfaa nahin……

JUDAA HAI WO MUJHSE ,KHAFA NAHIN
BEBAS HAI WO MAGAR ,BEWAFA NAHIN
KAISE SAMJHAOON TUMKO O YARON
USKI TARAH YAHAN KOI,DUJAA NAHIN

Sari duniya duniya duniya
Duniya kahe to na maanu maanu maanu
Maanu ek apna usko usko usko
Usko pata hai kya hai wafa wafa wafa
Wafa hi wafa hai uske dil mein, dhokha nahin……

JUDAA HAI WO MUJHSE ,KHAFA NAHIN
BEBAS HAI WO MAGAR ,BEWAFA NAHIN
KAISE SAMJHAOON TUMKO O YARON
USKI TARAH YAHAN KOI,DUJAA NAHIN


no likes.

Posted on September, 14 2012 05:42:09 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4276 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Tumhare pyaar mai hamne bahut chote khaye, Jiska hisaab na hosake utne dard paye, .Phir bhi tere pyaar ki kasam khake kehta hu, Hamare lab pe tumhare liye sirf pyaar aaye.,,

no likes.

Posted on September, 14 2012 05:55:37 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4824 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
chup kar akele mein yun aansu bhaao na
hai kya dard dil mein hume bhi kuch bataao na
itna bhi nadaan nahi mein,jo dard tumhare na samjhu,
aaj kah do razz sare ab aur kuch chupaao na.
Yeah vaada hai tumse har dard mein hamdard rahunga,
de doo mujhe sare gam apne,ab har dard bhul jaao na.
Mein saath tumhare rahunga har kadam pe saya ban kar
,bhul jaao sari duniya ab gale lag jaao na.
Dheko sapne meri aankho se ,har din khusiya bhari hongi ab,
tor do sare gam ki diwaarien meri khatir ab mushkuraao na.

no likes.

Posted on September, 14 2012 06:00:24 PM

Omer87


Age: 36 Male
4818 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
~Wafa Ki Aarzoo Karna!
~Safar Ki Justujoo Karna!
~Jo Tum Mayoos Ho Jaao!
~To RABB Se Guftugoo Karna!
~Ye Aksar Ho Bhi Jaata Hy!
~K Koi Kho Bhi Jaata Hy!
~Muqaddar Ko Sataao gy!
~To Phir Ye So Bhi Jata hy!
~Agar Tum Hosla Rakkho!
~Wafa Ka Silsila Rakkho!
~Jisy Tum KHALIQ Kehtay Ho!
~To Us Se Raabbta Rakkho!
~Men Ye Daavy Se kehte Hun!
~Kabhi Naakaam Na Hogy!
~ISHQE HAQIQI Ko Samajh Jaao!
~Kabhi Badnaam Na Hogy!

ZaiN007 like this.

Posted on September, 14 2012 06:11:33 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4824 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Jab kabi wo hoga apni zaat me Tanha
"To Yaad Aounga"

Na chala qadam se qadam koi
"To Yaad Aounga"

Main uski ankhon ka ishara b samaj leta hon

Na samaj saka koi dil ki baat
"To Yaad Aounga"

Din ka har ik pal guzrega jab us pe kathin

Aur tanha kate gi raat
"To Yaad Aounga"

Har bazi jan kar us se har jata hon

Jab de ga koi usse haar
"To Yaad Aounga"

Hansne ko to dunya b hansti hy sath sath

Na roya koi dukh mai sath
"To Yaad Aounga"

ZaiN007 like this.

Posted on September, 14 2012 09:21:58 PM