Forums > Poetry / Ghazal Corner > fakhira batool
SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4256 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Subject : fakhira batool
Socha hota khawb dikhaney se pehle,
Aur kisi ko apna bananey se pehle,
Kuch pal us ko neend mein ghaur se dekho to,
Dheerey dheerey us ko jaganey se pehle,
Soch lo is mein koi qeemti shey hi na ho,
Dil ke sheher ko aag laganey se pehle,
Dekha, to sab tan man raakh ka dhair hua,
Apne dono hath bachaney se pehle,
Socha, rab se us ko maang ke dekhoon to,
Sar sajdey se aaj uthaney se pehle,
Ab pachtaney se bhi kya haasil ho ga,
Socha hota aankh milaney se pehle,
Aao aakhri baar karain hum yaad usey,
Sach much us ko aaj bhulaney se pehle....

no likes.

Posted on November, 08 2012 02:19:01 PM


bawa125


Age: 33 Male
4236 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
****Nahi chorr sakty hum dusron k haath mein tumhain*****

****Wapis loat aao k hum abhi tak akela haain******

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:11:57 AM

riabest


Age: 32 Female
4239 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
aankh ne raat jab ik chaand mukamal dekha,
Phir samandar ko bhi hote huye pagal dekha,
Raat bhar der talak ki teri batain khud se,
Raat bhar samne chehra tera pal pal dekha,
Aj yaadon ki ghataa toot ke barsi dil par,
Aaj hum ne bhi barasta hua badal dekha,
Hafizaa cheen liya hum se gham-e-dunya ne,
Aaj hum bhool gaye us ko jisey kal dekha,
Baandh ke dekh li paayel bhi sar-e-bazm tarb,
phir bhi behlaa na kabhi dil ka ajab chhal dekha,
Aik larki thi tabasum! ke bohat hansti thi,
Us ki aankhon se bhi behta hua kaajal dekhn..

no likes.

Posted on November, 13 2012 12:10:44 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4239 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
jheel sa mujh ko gehra laga tha,
Jab woh pehli baar mila tha,
Har rasta, khushbu rusta tha,
Woh mere hamraah chala tha,
Ankhon mein kajal phela tha,
Chahat ka khamosh sila tha,
Hum dono mein rang usi ka,
Raste mein jo phool khila tha,
Kese bhula doon us ko Arshad,
Woh tou mera aayina tha.

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:14:08 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4412 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere

no likes.

Posted on November, 15 2012 01:31:00 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4256 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Jism pathar, pathron mein jaan hai,
Kya koi iss sheher mein insaan hai?

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:24:55 PM