MrNumanM
Age: 29
4060 days old here
Total Posts: 319
Points : 202
Location:
Jalalpur Pirwala, Punjab, Pakistan, Pakistan
Status : Offline |
Subject : wohi bekar ki qissey Bohat farsoda lagte hain mujhe ab yaar ke qissey Gul o gulzaar ki baatien, Lab o rukhsaar ke qissey. Yahan sab ke muqaddar mein faqat zakhm e judai hai, Sab hi jhootey fasaney hain wisaal e yaar ke qissey. Bhala ishq o mohabbat se kisi ka pait bharta hai, Suno tum ko sunata hoon main karobaar ke qissey. Mere ehbaab kehte hain yehi aik aib hai mujh mein, Sar e deewar likhta hoon pas e deewar ke qissey. Main aksar is liye logon se jaa kar khud nahi milta, Wohi bekaar ki baatien wohi bekaar ki qissey…!
no likes.
|