Forums > Poetry / Ghazal Corner > GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT
BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Subject : GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT (closed)
Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle
dilon ke deep jalte hain charagh-eshaam se pahle
kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle
yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle
hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle
ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle
huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle



no likes.

Posted on April, 06 2012 09:36:02 PM


BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Juntleman ye btao k baqi log hamare sath itifaq kiun nai krte.

no likes.

Posted on April, 19 2012 07:12:20 PM

lailagul


Age: 29 Female
4405 days old here
Total Posts: 174
Points : 67

Location:
islamabad, Pakistan

Status : Offline
bikhar rahi hai meri zaat use kehna
kabhi mile to yahi baat use kehna

woh sath tha to zamana tha humsafar mera
magar ab koi nahe mere sath use kehna

usay kehna bin uss k din nahe kat tay
sisak sisak k kat ti hai rat use kehna

usay pukaron k khud hi pohanch jaon uss k paas
nahe rahey woh halaat use kehna

agar woh phir bhi na laute to a meharban qasid
humari zeest k halaat use kehna

her jeet uss k naam kar raha hoon main
MAIN MAANTA HOON APNI HAAR USE KEHNA..
{laila gul}

no likes.

Posted on April, 20 2012 12:16:33 AM

MirzaIT


Age: 31 Male
4458 days old here
Total Posts: 1055
Points : 350

Location:
Gujrat, Pakistan

Status : Offline
ghazal bohut hi umdah hai....wah wah....

no likes.

Posted on April, 20 2012 12:59:18 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Any new ghazal?

no likes.

Posted on May, 19 2012 11:00:48 PM

shaukatkhanqta


Age: 28 Male
4504 days old here
Total Posts: 1659
Points : 18

Location:
quetta, Pakistan

Status : Offline
Daikhtay Hain Yeh Aziat Gawara Ker K..!!
!
Baaton Baton Mein Bicharnay Ka Ishara Ker K
Khud Bhi Roya Woh Bohut Hum Say Kinara Ker K
!
Sochta Rehta Hon Tanhai Mein Anjam-E-Khuloos
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobarah Ker K
!
Jagmaga Di Hain Teray Shehar Ki Galiyan Mein Nay
Apnay Her Ashk Ko Palkon Pay Sitara Ker Kay
!
Daikh Laitay Hain Chalo Hosla Apnay Dil Ka
Aur Kuch Rooz Teray Sath Guzara Ker K
!
Aik Hi Shehar Mein Rehna Magar Milna Nahin
Daikhtay Hain Yeh Aziat Gawara Ker K..!!

no likes.

Posted on May, 20 2012 12:12:24 PM

Omer87


Age: 36 Male
4800 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
nice Ghazals

no likes.

Posted on May, 20 2012 07:41:54 PM

shoaibAhmed


Age: 29 Male
4361 days old here
Total Posts: 190
Points : 129

Location:
larakana, Pakistan

Status : Offline
nice ghazals!!!!!!!

no likes.

Posted on May, 20 2012 07:43:51 PM

Omer87


Age: 36 Male
4800 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Beautiful

no likes.

Posted on May, 21 2012 12:27:43 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Shaukat

greate ghazal

no likes.

Posted on May, 21 2012 09:09:34 AM

Omer87


Age: 36 Male
4800 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
share more ghazals

no likes.

Posted on May, 31 2012 09:32:58 PM

BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Ok i will.

no likes.

Posted on May, 31 2012 10:30:43 PM

Omer87


Age: 36 Male
4800 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Basit

waiting.....

no likes.

Posted on June, 03 2012 06:13:35 PM

BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
By Abdul Basit

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian
Baatain Puraanian Wohi Raatain Suhaanian
Un Per Tou Farz Hain Mere HarfonKe Zaaiqay
Ab Jin Ko Aagayein Badi Baatain Bananian
Ay Ishq Aa Phir Se Koi Tajurba Karain
Mein Bhoolnay Laga Hun Puraani Kahanian
Wo Tere Qehqahay Thay Ke Jaisay Hujoom Mein
Tootain Kalaion Mein Khanakti Kamaanian
Ye Mere Ashq Hain Ke Paharon Mein Jis Tarah
Royein Basant Rut Mein Nadi Ki Rawaanian
Maango Dua Ke Khelti Khilti Rahain Sadaa
Sheheron Ki Dulhanain Meri Basti Ki Raanian
Mohsin Ko Kuch Tou Had-e-Sitam Ka Suraagh De ?
Kab Tak Raqam Karuun Mein Teri Meherbaanian

no likes.

Posted on June, 03 2012 06:39:33 PM

BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
By Abdul Basit

Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain
Thaktay Phirtay Hain Dhoop MeinBachay !
Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain
Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain
Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay,
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain…!
Oski Aadat Hai Roothna Mohsin
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain


no likes.

Posted on June, 03 2012 06:43:38 PM

BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline

By Abdul Basit

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha
Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha
Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha
Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha
Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha
Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai !
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha
Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TULaikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha
Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha


no likes.

Posted on June, 03 2012 06:47:38 PM

BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline

BY Abdul Basit

Ek Raat Hui Barsaat Bahut
Main Roya Saari Raat Bahut
Har Gham Tha Zamaane Ka Lekin
Main Tanha Tha Us Raat Bahut
Phir Aankh Se Ek Saawan Barsa
Jab Sehar Hui To Khyal Aaya
Woh Baadal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Saari Raat Bahut


no likes.

Posted on June, 03 2012 06:49:08 PM

BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline

BY ABDUL BASIT

Bikta Hai Husn Bhi Zikar Misar Ke Bazar Ka L00n.
Ya Tazkara-E-Anar'kali Saleem Ke
Darbaar Ka Kar L00'n.
Di Is Qadar Tuhmatain Mujhey Aalam-E-Ishq Ne.
Sochta Hon Rukh Apna Bhi Saf-E-
Aghiyaar Ka Kar L00'n.
Kehta Hai'Ghalib' Ishq Bhi Ek Kaam H0ta Hai.
Chalo Phir Fikar Darvaish'
Apney Rozgaar Ka Kar L00'n.
Hai Nafas Par Qaabu Magar Main
Bhi T0 Insaa'n H00'n.
Kya Bura Gar Ek Kaam Main Bhi Gunnah'Gaar Ka Kar L00'n.
Gunnah-E-Ishq Sunta H00'n
Asar Main Saddiy0'n Se Jaari Hai.
Main Jata H00'n Ke Ek Tawaaf
Apney Dildaar Ka Kar L00'n.
Azaan-E-Husn Deti Hai Terey Rukhsaar Ki Masjid.
jazat Ho Darvaish' H0nt0n Se Ek Sajda Piyaar Ka Kar L00'n...


no likes.

Posted on June, 03 2012 06:51:09 PM

BeHappy


Age: 29 Male
4406 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline

By Abdul Basit

Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-ButaanSe Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha,
Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha,
Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha,
Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha,
Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-Faraaz Mein “Mohsin”
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha..


no likes.

Posted on June, 03 2012 06:55:31 PM

Omer87


Age: 36 Male
4800 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Basit

wah g
great

no likes.

Posted on June, 03 2012 11:50:08 PM

masif


Age: 39 Male
4324 days old here
Total Posts: 364
Points : 76

Location:
Attock, Pakistan

Status : Offline
toba sar main dard ho gaya

no likes.

Posted on July, 02 2012 09:00:43 PM