Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Aaj rothay huway sajan

Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya

621 chars (4 sms)
(Not Rated Yet)
 

Hottest SMS Messages this week

kitni bechain hai ye

Usay Itna Bata Dena

Tamam Umar Mujhe

Ik chand tanha khara raha

Raat Kat’ti Rahi Chaand

I See U Aankhon

LOVE IS BLIND

Kisi bhi Bazm-e-Mahfil

One Who Just

Aft Our Exam

Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook