Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Ub Kya Sooche

Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga

Yaar Say Gham Keh Ker To Khush Ho Laikin Tum Yeh Kya Jaano
Tum Dil Ka Rona Rote Thay Woh Dil Mein Hasta Hoga

Aaj Kisi Nai Dil Tora To Hum Ko Jaisay Dheyaan Aaya
Jiska Dil Hum Nai Tora Tha Woh Jaane Kaisa Hoga

Mere Kuch Pal Mujh Ko Day Do Baaqi Saray Din Logo
Tum Jaisa Jaisa Kehtay Ho Sub Waisa Waisa Hoga

Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga

492 chars (4 sms)
(Not Rated Yet)
 

Hottest SMS Messages this week

Aata Khatam Gas Khatam

tumhi ko dekhte rehna

Kabhi Yun Bhi To Ho

humne b kse se piyar

Koi Tum Se Pooche Kon

Usko her chahton se

*Main yun sanbhal gai

kia khabar sath chor

Hum nay kisi ki yaad

Deep Jalte jagmagatefu

Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook