Search Results for 'ga'
Wo jo aks aks ganwa diya
Kabhi roo baroo tha meray liye
Woo jo naksh naksh mita diya
kabhi char soo tha meray liye
jo had-e-hawa say bhi door hai
kabhi koo ba koo tha meray liye
jo tapish hay mauj-e-saraab ki
kabhi abb-e-joo tha meray liye
jisay ap likhta hoon khat mein
kabhi sirf tuu hi tha meray liye
312 chars (2 sms)
kuch bholi bisri yadaian
kuch piyari piyari baatain hain
kuch kisey un ki chahat k
kuch lafaz piyar muhabbat k
kuch khas nahi hai mera piyar
per itna aam bhi naa samjhoo
woh dunia ki shikayat kerta hai
per piyar woh mujeh sey kerta hai
us ko nahi maloom mager
woh kho jay ga ik din jab
hum praymi loog hi chahain gay
woh phir sey kahain aabad to ho
woh aansoo aansoo roey ga
jab chahat hamari tarsaye gi
tab hum bhi kahaian gay ab jana
woh yaadaian to diwani thin
woh jhota kisa tha sara
hum ko tum sey piyar nahi
530 chars (4 sms)
Tumhara hamara rishta to aankhon aur palkon jaisa hai, Agar palak kuch der na jhapke to aankh ro deti hai, Aur agar aankh mein kuch chala jaye to palak tadap uthti hai
168 chars (2 sms)
Dil mein aap ki har baat rahegi,
Basti choti hai magar aabaad rahegi.
Chahe hum bhula de saare zamane ko,
Lekin aapki har adaa yaad rahegi
141 chars (1 sms)
Taras gaye tere didar ko
ab to dil rone ko karata hai
hamase accha to tere ghar ka aina hai
kam se kam roz tujhe dekha to karta hai
135 chars (1 sms)
.Woh kehte hain k aagar nasib hoga mere,
toh hum unhe zaroor payenge,
hum puchte hain unse, agar hum badnaseeb
hue toh unke bina kaise jee payenge..
152 chars (1 sms)
Hawa k jhokon ka hisab kya rakhna,
Jo beet gaya use yaad kya rakhna.
Bus ye soch kar muskura dia humne,
K apni udasi se doosro ko udaas kya rakhna
150 chars (1 sms)
Udas tuje dkhne se phle ye ankhen na rhen,
Khafa ho tu mujhse to ye sansen na rhen.
Agar gum hi du tuje to teri zndgi mein,
main kya meri yaadein bhi na rahen.
163 chars (2 sms)
Arzoo yeh nahi k gham ka tofan tal jay
Fiqar tu yeh hay k tumhara dil na badal jay
Kabhi bhi mujh ko agar bhulana chaho tum
Tu dard itna dena k mera dum nikal jay
165 chars (2 sms)
Ulfat na sahi nafrat hi sahi
hum ye bhi gawara kar lenge
ik yaad kisi ki dil me liye
jeene ka sahara kar lenge
114 chars (1 sms)
Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi
185 chars (2 sms)
hum ne manga tha us ka saath
woh judia ka ghum day gaye
hum jee laite unki yaadoun kai sahare
magar woh hamaien bhool jane ki qasam day gaye
144 chars (1 sms)
Aye mera janaza uthane waalo
dekhna koi bewafa paas na ho.
Agar ho to us se kehna
aaj to khushi ka mauka hai,
udaas na ho
133 chars (1 sms)
na jeene ki khushi na marne ka gam
gam hai to apse na milne ka gam
jeete hai is aas par kabhi aap humare kehlayenge
marte nahi isliye ki aap akele reh jayenge
162 chars (2 sms)
Jab mujhe laga ki mai unhe kho raha hu,
aisa laga ke maut ke aagosh mai so raha hu.
na hojaye unki bewfai mashur yaro,
Unki yad mai mai kabr mai ro raha hu.
165 chars (2 sms)