Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'barish'

Wo Mujh se Meri Udasiyon

Wo Mujh se Meri Udasiyon ki Waja puchti hai

Kitni Pagal hai Raat k Sannate ki Waja puchti hai

Wo Mujh se Mere Aanso''on ki Waja puchti hai

Kitni Pagal hai Barish k barasne ki Waja puchti hai

Wo Mujh se Meri Pasand puchti hai

Kitni Pagal hai Khud apne hi barey mai puchti hai

Wo Mujh se Meri Wafa ki intihaa puchti hai

Kitni Pagal hai Sahil per Khara Samandar ki Gehrai puchti hia.....;->

412 chars (3 sms)


Barisho k mosam mein

Barisho k mosam mein
UNko yad karney ki aadtain purani hain

Ab k bar socha tha adtein badal dein ghy

phir kheyal aaya k adtein badlney se barishein nai rukti.

166 chars (2 sms)


Pyaar hai tera phulo

Pyaar hai tera phulo ki khushbu
In khushbu me kahi madhosh ho na jau.…
Agar madhosh ho jau to in me kho na jau..…

Pyaar hai tera sagar ka darya
Is darya me kahi dub na jau.
Agar dub jau to in me kho na jau..…
Pyaar hai tera barish ki bunde
In bundo me kahi bhig na jau.
Agar bhig jau to in me kho na jau..…
Pyaar hai tera un pahade se bada
In pahado me kahi dur tak chadh na jau.
Agar chadh jau to in me kho na jau..

Pyaar hai tera us aasman ki tarah vishal
Is aasman me kahi yaha waha chali na jau.
Agar chali jau to in me kahi kho na jau..

Pyaar hai tera mere dil ka aaina
Is aaine me dekhne chali na jau.
Agar dekhne chali bhi jau to in me kahi kho na jau..

683 chars (5 sms)


Chupkey Chupkey Ro Lena

Chupkey Chupkey Ro Lena

Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Moan Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena

621 chars (4 sms)


Laakh doori ho maghar

Laakh doori ho maghar ehad-e-wafa nibhati rehna,
Jub bhi Barish ho mera sog manati rehna,
Ek Muddat se aadat hoi hai ab to ,
Ap hi aansoo bahana Ap hi muskurate rehna

169 chars (2 sms)


Tumhari hr ada ha

Tumhari hr ada hai monsoon jaise,
kab aaoge kab jaoge na kisiko hai khabar hoti,
pata nahi kab aake garjo ge aur kab aake barso ge,
agr pata hota pehle se ke aaj tum online garaj ne aur barasne wale ho to kab se computer ko khula asman
samjh ke,
internet ko bijli ka ehsas samajh ke aur web.cam. on karke barish ka maza lene ka intezar karte aapko dikhla
dete

365 chars (3 sms)


Barishon k mosam mai

Barishon k mosam main.waqt k andhairon main,mene us say pocha tha.Chor to na jao gay?Hath thaam kar usne ye bola tha??kaise chor sakta hon?Tum to jan ho apni?aur aaj aisa hai k waqt ki tamazat main..Vehshaton k mosam main..main nay uss say pocha .. chor k hi jana tha muskrati galion main to aas kyun jagai thi..?mere in sawalon par na wo chonka,na thehra..chaltay chaltay itna hi kaha bus..Mosam k khail hain.sab waqt ka tagayur hai.

434 chars (3 sms)


us nay meray seenay p

us nay meray seenay per sir rekh ker poocha
jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay mil saktay hain sabhi sitaray
daryaon k saray moti
sawan ki pehli barish k saray qatray
ujlay chand ki sari kirnain
dharti k seenay sa liptay sabhi khazanay
saray mousam sabhi duayen
phoolon ki rangeen qabayen
patti patti pernay wali bheeni shabnam
ism-e-azam
us nay meray seenay pe sir rekh k poocha
jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay sub kuch apna,sub kuch,sub kuch
apna sub kuch day saktay ho
ma nay us ka maatha chooma or bola jub
pehli bar meray seenay pa tum nay apna sir rakha tha

635 chars (4 sms)


Chehray pey meray

Chehray pey meray zulf ko bikhrao kisi din
Kyou roz garajtay ho baras jao kisi din
Peron ki tarah husan ki barish mein naha lo
Badal ki tarah jhoom k ghar aao kisi din
Khushbo ki tarah guzro meray dil ki gali say
Pholon ki tarah mujh pey bikhar jao kisi din
Guzren jo meray ghar say tu ruk jaen sitaray
Es tarah meri rat ko mehkao kisi din
Mein apni har ek sans usi rat ko day don
Sar rakh k meray senay pay so jao kisi din

433 chars (3 sms)


Suno ...!!

Suno ...!!

Tumhay barsti hoi barishain...

Bohat pasand hain na..

To....

Aao dekho...

Aaj mukabala hai...

Rim-jhim barasti barish ka...

Mere aanson se...!

175 chars (2 sms)


~~~~~TearZ~~~~~

~~~~~TearZ~~~~~
Us nay kaha tha k tumhari aankhein bohat roshan hain
Mein kuch soch kar hans pari
Us bekhabar ko kia khabar
K barish k baad hee mausam nikhartay hain

169 chars (2 sms)


Usay maine hi likha tha

Usay maine hi likha tha


Usay maine hi likha tha
k lehjey barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey
usay maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayed
kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay maine hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi pata
usay kehna woh be''maani adhoora khat
usay maine hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!

527 chars (4 sms)


KiSi roz bariSh mein

KiSi roz bariSh mein ghaR se niklnA,

Khizan mein giray tootay paton pe chlna,

Tapakne lage ga jb darakhton se pani,

Tumhain yaad aye gi beeti kahani,

Keh jb hm kisi sham tm se milay thay,

Mohabat ke raston pe hm tm chalay thay,

Wo berson ke kissay vo batain purani,

Tumhain yaad aye gi beeti kahani.

321 chars (3 sms)


=/// Soch Raha Hoon ///=

=/// Soch Raha Hoon ///=

Tumhain
Kya Bhejoo . . . ?

Barish Ki
Pehli Boond . . .

Aasman Ka
Sab Say Roshan Tara . . .

Shaakh Par Khila
Surkh Gulaab . . .

Muthi Main
Qaid |k Jugnoo . . .

Honto Pay Saji
|k Khawahish . . .

Aankho Ka |k Khawab . . .

Ya . . .


Dil Ki MAASOOM See DUA . .

315 chars (2 sms)


Dil-E-Nadan barish K

Dil-E-Nadan barish Ki Tarh Barasna Chor De
Aise Hee Tere barasnay Se Koi Pigle Ga Nahi

88 chars (1 sms)


,,GO 1734 2989 aaas aaina acha dost adalt adawat Adhi Raat adult ajab allah pak altaf animal April fool aqwaal attitude Aunty ay dil ay dost baba badal badmashi badsha bagwan balochi baraf barish Benazir bhag Bhai bhutto bird Bister blessing cast chale chanda chooma choose Choot CHUT color cool dasi dhund Dimagh dirty Door dost dosti ehd e wafa Election elephant enjoy fahad Faiz fanaa faraz in arabic faryad fogg Forgiveness Friday friends friendship funn funny Funy sms galti galyan gand Ganday sms gandi ganj ganja garmi gazal Girls golden words Good after noon Good night wishes gussa Hadis hair Hairstyle haloo hand hansna happy birthday happy new year hard work HATE hazrat ali HEAD Hello! hindi hindu husband wife hussain I KISS U I LOVE U i miss u if you really love someone arrange iqbal Jangal jani jawab Jindgi jungle ka badshah Kaha ho karachi khawab labo Ladki list login lonely madani phool mahek malik mama Manzil Married masjid masoom Mera Yaar miss you Mola ali molvi monday morning mountain muhbat muje pata tha munir Namaaz namaz NARAZ natural nawaz Nawaz sharif nend new shadi pakistan parda pareshaan pareshan pashto professor to student propose punjabi sms pushto rainy day raja rashid reply result romantic romantic kiss sabar sach Sagar sali sanam sardar sawal school scolding shadow shia sindhi SINDHI TOPI AUR AJRAK songs Sunday surti Talent tarkhan teachers tears teri dosti tongue twister trust udas udas larki Urdu uses Util view wada waqt wasi shah wedding wife sms Ya HUSSAIN yaad Yaadain yakeen Your heart was frozen Zikr zindagi
Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook