Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'I'

Woh Chahta Tha Phir

Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki

647 chars (5 sms)


aisay main bas december ki

aisay main bas december ki
Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
alvidaii manzar yaad aata hay
aisay main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi
Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay
Haan bass woh aakhri december .........Yaad aata hay ..!!

258 chars (2 sms)


DECEMBER kay mahinay ka

DECEMBER kay mahinay ka wo shaid akhri din tha
baras guzray kai
main nay "MUHABAT" lafz likha tha
kisi kagaz kay tukray per!
Achanak yaad aya hay
baras guzray kai
muj ko kisi say bat kerni thi
usay kehna tha
jaan-nay jaan! "MUJHY TUM SE MUHABAT HY"
magar main keh nahi paya
woh kagaz aaj tak lipta para hay dhool main lakain
kisi ko day nahi paya
dobara cha ker bhi main mohabat ker nahi paya!

405 chars (3 sms)


Guzarta hua saal

December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!

230 chars (2 sms)


Yeh saal bhi udaas raha roothh ker gaya

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh saal bhi udaas raha roothh ker gaya
Tum sey miley baghair december guzar gaya


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

142 chars (1 sms)


December ki shab-e-aakhir

December ki shab-e-aakhir na poocho kis terha guzri
Yehi lagta tha her dam woh hamein kuch phhool bhaijey gaa

110 chars (1 sms)


December aa ker

December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa''n chehkein gee yakh-basta raato''n may
Aur pairo''n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa

512 chars (4 sms)


Aah december lout

Aah december lout aaya hai...
Yakh basta thhithharti hui taweel raatein
Yaadoo''n ka aanchal aurh ker
Meray dil kay taqchon mein
Aashaao''n kay deep jalaati hein
Meray mann mein bajti ghantiyoun ney
Barff ki chaadar aurhi hai
Rooh pehlay sey khwaaboun per
Koher ka perda chhaya hai
Hijr ki lambi raato''n may
Chhat per tanha teheltey howey
Shaal ka kouna dhalak gaya hai
Balconey kay hairaan chaand per
Meray aansoo''n ka saaya hai
Aah december lout aaya hai

472 chars (3 sms)


Na inkaar na tha

Na inkaar na tha ikraar
Par hum karne lage tum se pyaar
Jaane kyun aur kab laga humein
Tum hi to ho mere dildaar




Rah pe chal rahe the hum saath saath
Tha hamare haathon mein aap ka haath
Humein kya pata tha ke zindagi mein
Yuhin saath chalne se nahi banti baat




Kitna pyaar hai hum ko aap se
Kitni zarurat hai hume aap ki
Batayen ge aap ko, karenge hum bayaan
Agar hui aap se, phir kabhi mulakat

422 chars (3 sms)


chandni raat k hatho pay

chandni raat k hatho pay sawar utri hai.
koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.

iss main kuch rang bhi hain ,
khaab bhi khusbuain bhi.

jhilmilati huwi khwahish bhi, aarzoain bhi.
issi khushbu main kayi dard bhi afsaanay bhi.

issi khushbu nay banaay kayi dewanay bhi.
meray aanchil pay umeedo ki Qataar utri hai.

koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.
issi khushbu say kayi yaad k dar kultay hain.

meray pairoo say jo leptay to safar khiltay hain.
yahi khushbu jo meray ghar say utta layi thi.

ab kissi toar palat kar nahein janay daiti.
meri dehleez bulaati hai mujhay loat aao.

yahi khushbu mujhay wapas nahein aanay daiti.
ranj aur dard main doobi yeh bahar utri hai.
koi khushbu meri dehleez k paar utri hai

747 chars (5 sms)


***ADA E ISHQ***

***ADA E ISHQ***
Har lamhay ko is tarhaa main taay kar jaoon gi
Har ik pal mai tujhay apnay qareeb laoon gi

Mehsoos bhi na ker paiy ga tu mujhay humdum
Main teri sanss mai iss tarhaa bass jaoon gi

Guzarty hovey lamhoon ko ik yaad banatay huwey
Main teray her pal ko is tarhaa mehakaoon gi

Gar bhool na chahay bhi tu mujhay aaiy humnasheen
Jatay huwey teray chehray pay apna akass chor jaoon gi

Zindagi mein aisa lamha bhi hoga socha na tha
Paa ker uss ko main haadh se hi guzar jaoon gi.

506 chars (4 sms)


,Saal Beetey, Dil Se Mere

,Saal Beetey, Dil Se Mere Ja Na Paye Tum
Sham Ki Tanhai Mein Phir Yaad Aaye Tum


Har Subah Paya Tumhein Khayalon Mein Apne Pas
Raton Ko Khuwabon Mein Mere Muskaraye Tum


Lagte Ho Mere Apne Jabase Tum Ho Dur
Na Jane Kyon Lagte Thay Pahle Kuch Paraye Tum


Piyar Hum Se Behisab Tha Tumhein Phir Bhi
Janey Kyon Hum Se Rahey Nazarein Churaye Tum


Jab Talak Tum Sath Thay Shikway Bhi Sath Thay
Kuch Nahin Ho Ab Mohabbat K Siwai Tum


Thak Gaya Hoon Zindagi Ki Rah Mein
Kaash Mil Jate Kahin Nazrein Bichhaye Tum

530 chars (4 sms)


Taraash ke mere baazoo

Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--

679 chars (5 sms)


Hum mai or tum mai

Hum mai or tum mai
kab yeh teh huwa tha???
k phir milege zindagi k kisi mord par
kab yeh kaha tha k bin tumhare
na jee sakhainge hum
buhat tarpaye ga yeh hijar ka mosam
yeh sawan aur pat jhar ka mosam
kab yeh teh huwa tha
k sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
AGAR! yeh sab teh nahi huwa tha tu
barso bad guzar jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun hon?

433 chars (3 sms)


BHULAYA NA JAA SAKA

BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

619 chars (4 sms)


,,GO 1734 acha dost adalt adhi raat afsos akhtar allama allama iqbal Alone apno APRIL FOOL Asif baba badal bagwan balochi baraf barish beggar believe Bewafa bewafaye Bhai bharosa bivi boys bulleh shah bund cast Chahat chale chanda Chinees choose choot congratulation Crying dard darji dasi dhoka dirty dost aaj dosti dosto dukhi eid ka din eid mubarak emotional english fairy faltu fill up friend friendship funny funny sms Funy sms Ganday Ganja ghazal girls golden words good afternoon good night hansna happy birthday happy new year hazrat ali Hazrat ali a.s HEAD Heart touching heaven hello hindi hoot husan hussain I KISS U i love u i love you i miss u if you really love someone arrange insult iqbal ishq islami janaza Jangal Janu jindgi jism jokes joking judai jumma kafan kare karna kathi khafa Khat Khata khushbu kisi aur ko kiss LABO laut aao life Love love lost lover mahak mahek malik Manzil Married masjid Masoom memory Mising mohabat Mohsin Momin morning MOUT muhbat namaz naraz Naseeb nawaz nazar andaz paisa pappu pareshan Pashto peshawar phol phool picture poetry princess propose Pyar quran ramzan raqeeb result river romantic kiss sabar sad poetry safar sahib sahil Salam salary sali saqi sardar sath SAWAL scolding send sms shaq sharab shetan shoaib shohar sindhi SINDHI TOPI AUR AJRAK sindhu sunday superman tabo takat talash Talent tarkhan tears tere chehra tere hath se teri dosti thanks trust udasi Urdu urdu poetry sms uses valen vote Wapda waqat waqt wife words Xxx. Ya allah ziddi
Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook