Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'a'

Sachai.! WO muje bohat chahti hai

Sachai.!

WO muje bohat chahti hai

Mager

Dukh bhi to us say bay shumaar miltay hain.!:(

96 chars (1 sms)


Ao hum ik dusray ko

Ao hum ik dusray ko

Bohat pyar karain..

aur Phir duja hO jaen.

Mohabat ko zinda rakhnay ka

iss k siwa koi tareka nhi.

130 chars (1 sms)


Jab kabhi dil bohat udaas

Jab kabhi dil bohat udaas ho

jab kabhi khud say bohat c batain kerna chahun

lafz kho jatay hain...

sapaid-e-sahar say pehle

ya shab k kisi udaas lamhay main

jab ankhon say ansu rawan hotay hain

shab k maheeb sanatay ko

kabhi jab torna chahun

kabhi jab bolna chahun

lafz khO jatay hain

main nay ye aksar dekha hai

jab kabhi dil mayoos ho chuka ho

aur tum chupkay say aa jao

ya jab kabhi tume alwida kehna ho

To Lafz kHo jatay hain.

472 chars (3 sms)


Main Ikswin sadi main

Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.

585 chars (4 sms)


Ujlat main likhay gae

Ujlat main likhay gae chand alfaaz ko ager aap khat samjhti hain to muje aap ka khat mil gya :)

96 chars (1 sms)


Aik aik kar k,dubtay ja

Aik aik kar k,dubtay ja rahe hain sitaray,aur chand bhi kahin chup gya hai,main tumhara intizar kerte kerte thak gya hon,chali ao,chali ao k ab zindagi tumharey bin guzarti hi nhi,chali ao k ab mere seene main chupa,karb angari lay raha hai.!

243 chars (2 sms)


TUme yaad hai

TUme yaad hai?? Ibtadai mulakaton main mai kaha kerta tha,muje tumhare jism say nhi,tumhari rooh say mohabat hai,,kya wo jhooot tha?

132 chars (1 sms)


Kitni ajeeb baat hai k

Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?

284 chars (2 sms)


Mohabat main ronay

Mohabat main ronay dhoney ka main ab qaael nhi raha.ao ik doojay k ho jaen..warna..warna

Khuda Hafiz :)

107 chars (1 sms)


Tumse musalsal milney

Tumse musalsal milney walay gamon k baes,main ab nidhaal ho chuka hon,Yaqeen kro.!main ab

breaking point per hon,khyaal rakhna,main iss baar ager bikhra to tum muje chun na paogi.

183 chars (2 sms)


Usne kaha tum main

Usne kaha tum main pehli c baat nhi.main nay kaha zindagi main tera sath nhi.usne kaha ab bhi kisi ki ankhon mian doob jatay ho?main nay kaha ab kisi main wo gehrai nhi.usne kaha kyun itna toot k chaha muje?mene kaha insan hon pathar to nhi.usne kaha kia main bewafa hon?mene kaha muje wafa ki talash nhi.usne kaha bhol ja mujh ko..mene kaha tum haqiqat ho koi khawab nhi. :)

376 chars (3 sms)


Jab bhi chaho mere

Jab bhi chaho mere khawabon main chali aana,ho k shamil meri sanson main,meri rooh main utar

jana,tume ijazat hai jab bhi chaho,chandni ban k mere kamray ki khuli khirki say qadam

barhati hoi ahista ahista dabay qadmon say chali ana,main us roz dua krunga,wo shab jo

tumhare sath basar ho,kisi bhi tore agli sadi say kam na ho.

337 chars (3 sms)


Yahan apni apni bari

Yahan apni apni bari per sab hanste hian..Sab rote hain..dil to sab ka hota hai,aur dukh bhi sab k hote hain.kuch ashq dilon per girtey hain,kuch matti main mil jatay hain.kuch lafz adaa ho jatay hain ,kuch honton main sil jatey hain..Mana k adhooray rehtay hain par khawab to sab k hotay hain.

295 chars (2 sms)


Rasm-e-Ulfat hi ijazat

Rasm-e-Ulfat hi ijazat nhi daiti warna

hum bhi aisa tumhain bhoolain k sada yaad karo.

90 chars (1 sms)


Wo kehti hai batao

Wo kehti hai batao main tume kyun bhaa gai akhir?main kehta hon meri jaan Hadsay to aksar ho hi jatay hain.

108 chars (1 sms)


acha dost adalt adhi raat afsos Ajnabi allah pak alone altaf Asif attitude ay dil bachi Badmash balochi beauty believe bewafa bhaga bharosa bike Bister bivi boys brother busy ho Chahat chinees choose Choot CHUT color Dadi daru dasi Devil dhoka dil dil pakistan doori Dost dosti dosto Duwa ehad eid ka din eid mubarak emotional evening Faiz faraz forward friends friendship funn Funny gadha gand Gandi ganja gareeb Ghalib ghazal girl girlfriend Girls good morning good night hair haloo hand hansna happy birthday Happy dewali Happy new year HATE hazrat ali hazrat mohammad heart hijar HONTO husan husband hussain I KISS U I LOVE U I love you i miss u if you really love someone arrange ignore inteha intezar iqbal janaza jani jannat jhoot jism jumma kafan kanjoos karachi kare karna kashti khali hathon ko kabi gor se dekha hai khat Khata KHUSHI khushiya King Kiss kissing LABO Ladki life little love Love love lost Love sms lover mama manz marne marriage Married masjid Masoom Maut Meer miss you mohsin Momin mother mountain Mout muhabbat mulakat naraz Naseeb nawaz sharif New year sms pagal pareshan Pathan pepsi peshawar phatan picture princess Punjabi quotes result rishty romantic sabar safar sahil sali samandar saqi sardar sardi SAWAL school sehri shadi sharab shayari shia shoaib shohar songs Story success Sunday tabo tasveer taxi tera chehra teri dosti Thanks trust umeed urdu uses ustad view wada wafa wapda waqat what is love wife winter wishing without you ya allah ye watan Your heart was frozen zardari Zindagi
Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook