Search Results for 'g'
tum per beety gi to tum b jan lo gay,,
,,dost,,
koi nazar andaz kary to kitna dard hota hai...!!
99 chars (1 sms)
Zaroorat Torr Deti Hai Gharoor-o-Be-Niazi Ko,
Na Hoti Koi Majburi To Har Banda "Khuda" Hota.
100 chars (1 sms)
shafa deta hy zakhmon ko,tumhara marhami lehja...
magar jo dil pe chalte hain,wo khanjar bi tmhare hain...
110 chars (1 sms)
maangi thi hum ne khuda se mohabbat ki zindgi.
khuda ne to tum ko hi mohabbat bana diya...!!!
97 chars (1 sms)
kitni mushkil se muhabat ka hova hai aaghaaz...
kerwatein leti hai kiun khwahis-e-anjaam abhi...!!
102 chars (1 sms)
abi justaju me hoon uski,to ehsas nahi us ko.
ro ro k pukary ga humein zara mar to jany do,,,,!
99 chars (1 sms)
na rakh umeed e wafa ksi parindy sy.
zara par kya lagy apna hi ashiyana bhool jaty hain..
93 chars (1 sms)
Agar Aanso Baha Daita To us K Paas Kya Rehta…
Woh Mujhko Hosla Daita To Us K Paas Kya Rehta…
Nishaan Mujhko BNahin Milta Koi Us Tak Puhunchnay Ka
Mujhay Apna Pata daita To Us K Paas Kya Rehta
Musaafir Saaray Hi Phal Khaa K Apni Raah Chal Detay
Shajar Tehni Jhuka Deta To Os K Paas Kya Rehta
Meri Yaadon Ne Hi Ab Tk Osay Abaad Rakha Hay
Woh Mujhko Bhi Bhula Daita To Us K Paas Kya Rehta
399 chars (3 sms)
Yun he ranjishoun main guzar gayi
kabhi wo khafa kabhi main khafa,
usi mor k har mor pe,
kabhi wo ruka
kabhi mai ruka
wohi raastay,wohi ham safar,
na use khabar na mujhe pata
apni apni anaa mai gum
kabhi wo khuda
kabhi main khuda.......!!!
249 chars (2 sms)
hay baad-e-marg bhi yaaro wohi tafreeq ka aalam...
na qabrein aik jaisi hain,na katbay aik jaisay hain...!
110 chars (1 sms)
iss haqeekat ko na honay dena logon py ayaan mohsin,,
k teri chahato''''n sy chalti hain meri saansain...
109 chars (1 sms)
parindon ne kabhi firqaa parasti to nahi dekhi.
"SAGAR"
Kabhi mandar pe ja bethay kabi masjid pe ja bethay.
114 chars (1 sms)
main tere milnay ko moajza keh raha tha lekin..
tere bicharnay ka saniha bhi kamaal guzra...
95 chars (1 sms)
khwahish''n ka kaffila bhi ajeeb hi hai.
saghi
aksar wahi se guzarta hai jahan raasta nahi
97 chars (1 sms)
hr bichra howa panchi isi umeed pe aagaz-e-subah krta hy"mohsin"
k qismt mila dy gi ham-nsheen sy mujh ko groob-e-aftab sy pehly..!
135 chars (1 sms)