Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Humesha muskura k

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

639 chars (4 sms)
(Not Rated Yet)
 

Hottest SMS Messages this week

Ghar me practis karna

Bartender: I Think

humayun babar k sarey gunna..

sceince kehti hai paani boi..

meri taqdeer ko dekho

Khamosh palko se jb ansu bik..

School se hasil ki hum ne ed..

journalist to meera

ao chupan chupai khelty hen

bhaiyo ke pyar ki koi misaa..

Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook