Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'chahat'

Meri chahaton men

Meri chahaton men doobne se baaz raho, -
Tu kahe mujhse haal-e-dil aur mera inkaar ho, -
Yeh Naobat na aaye issliye meri baat maan, -
Chhod de peechha mera ki tu ab khwar na ho. -

183 chars (2 sms)


main chahata bhi yahi

main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay

263 chars (2 sms)


har lafz se us k main ne chahat ki hai

har lafz se us k main ne chahat ki hai
us k har vaade ki izzat ki hai
har khwab ko us k samjha hai apna
us k har ehsas ki ibadat ki hai
wo hanste hanste jo ansoo de deta hai
main ne to un ansuon se b mohabbat ki hai!!
~ Tun Bin ~

235 chars (2 sms)


kahin na kahin koi na

kahin na kahin koi na koi humare liye bhi bana hoga,
is baarish ki boondh ke liye koi to sip khula hoha,
apne sapno ke rajkumar se milne ki chahat he,
chupke chupke sunai deti is dil ko mohabbat ki aahat he.

211 chars (2 sms)


Meri Chahat Tum Se

Meri Chahat Tum Se Alag Kab Hai,
Dil Ki Batain Tum Se Chup Kab Hai,
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Tarah,
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai

154 chars (1 sms)


Kabhi Tum Milne bulao Na,

Kabhi Tum Milne bulao Na,
Tumhain Mehsos Kerna Hai,
Tumhari Zaat Main Reh Ker,
Tumhara Hissa Banna Hai,
Mujhe Viran Ankhon Mein,
Tumhari Bikhri Batoon Mein Wafa Ka Rung Bharna Hai,
Tumhare Phool Chehre Pe Udasi Ka Jo Manzar Hai
Whan Pe Apni Chahat Se Hansi Ko Naqsh Krna Hai
Kabhi Tm Milne bulao Na . . . /

314 chars (2 sms)


Jitna pyar paya hai

Jitna pyar paya hai tumse,
usse aur jyada pane ko ji chahata hai,
jane woh kaun si khubi hai tumme,
ki har rishta tum se banane ko ji chahata hai

149 chars (1 sms)


Ek Tamanna Hai Faqt

Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meharban Raho,

Tum Kisi Aur Ko Dekho To Bura Lagta Hai,

Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Saath Raho,

Gair Ka Haath Jo Thamo To Bura Lagta Hai,

Aarzo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhoon,

Tum Mere Paas Se Utho To Bura Lagta Hai,

Roz-o-Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko,

Tum Kisi Aur Ko Socho To Bura Lagta Hai...!!

367 chars (3 sms)


Kuch Batain Hum Se Suna Karo,

Kuch Batain Hum Se Suna Karo,

Kuch Batain Hum Se Kiya Kao,

Mujhe Dil Ki Baat Bata Dalo,

Tum Hont Na Apne Siya Karo,

Jo Baat Labon Tak Na Aa Sake,

Wo Aankhon Se Keh Diya Karo,

Kuch Batain Kehna Mushkil Hain,

Tum Chehre Se Parh Liya Karo,

Jab Tanha Tanha Hote Ho,

Aawaz Mujhe Tum Diya Karo,

Har Dharkan Mere Naam Karo,

Har Saans Main Mujh Ko Piya Karo,

Be Rang Agar Yeh Jeevan Hai,

Mere Haal Se Rang Liya Karo,

Jo Khushiyan Teri Chahat Hain,

Mere Daman Se Rang Liya Karo...!!

519 chars (4 sms)


Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,

Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate….

588 chars (4 sms)


Jissay Tum Zindagii Jano

Jissay Tum Zindagii Jano
Tumhain WO Rog Kahta Ho
Kay Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho
Wo Apnay Dil Kay Darwaze
Tum Hi Per Band Kar Day To Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Tumhain Sangsar Kar Nay KO Jo Sang Bantay Loogon Mein
Saba KO Roknay KO Qafal Dalay Dareechon Mein
Kar Kay Band Ghar Kay
Saans Per Pehray Lagay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Ye Kis Nay Kah Diya Tum Say
Mohabbat Mar Nahi Sakti
Kay Jab Koi Tumhain Jaan Say Guzar Janay KO Kahta Ho
Aadhi Raah Mein Khud Hi Mur Janay KO Kahta Ho
Wo Apni Bewafai Ka Khud Hi Aitraf Kar Lay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai

624 chars (4 sms)


Mujh Ko Baatein Kab

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein

233 chars (2 sms)


Bhujay bhujay say ajeeb din hain

Bhujay bhujay say ajeeb din hain
Khuwab hai na khayal koi
Na mnzaron mein koi kashish hay
Na mosamon mein jamal koi
Hum aik doojay ko apni apni
Adhoori ankhon say dekhtay hain
Hamari barson ki chahaton par
Utar raha hai zaawal koi
Jo hasna chahein tu ashk niklein
Jo rona chahein tu hanstay jaein
Hamary jazbaat girvi rakh kar
Bana raha hai missal koi

363 chars (3 sms)


Sabz maddham roshani may

Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak
Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak

Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan
Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua

Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa
Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char

Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks
Reshami bahon may churi ki kabhi maddham dhanak

Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat
Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada

Kanpate honthon pe thi allah se sirf ek dua
Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara

579 chars (4 sms)


Chahat Wo Nahi Jo

Chahat Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai
Chahat Wo Nahi Jo Muskaan Deti Hai

Ae Dost Chahat Wo Hai
Jo Pani Mein Gira Aansoo Pehchan Leti Hein

136 chars (1 sms)


???? Aaas aankhain adalt adhi raat Adult afsos after death agra aisi konsi ajab akhtar allah pak allama anarkali anniversary April fool aqwaal Asif attitude badsha barish beer bewafa bharosa bholna bhool bichar gay bike bird blessing boring boys broken heart Chahat chale chanda choose CHUT cigareete cool cricket Daag dard daru december defence day dhoka dhund Diwali Sms door Doori dost doste drink duwa EID KA DIN eid mubarak Eid ul azha ENGAGEMENT evening Facebook Faiz Faraz Farq sirf itna tha Fill up flower Forgiveness forward Friday friends friendship Funny funny poetry Funny sms Ganday sms Gandi gandu Ghazal girl Girls golden gujjar gurbat Hairstyle hansna happy birthday Happy dewali Happy new year HATE heart heaven hijab hussain i love u I love you i miss u If You Really Love Someone Arrange insaniyat ishq jindgi juda kare kashti kesc khali hathon ko kabi gor se dekha hai Khat khobsort khuda se tum ko khushiya King Kya. Land larki Laut aao list little love Love love sms lover Married marrige masjid Masoom maut miss you mohabbat Mola ali molvi mother moti Mout Musafar nagni NARAZ Nawaz sharif New year sms november Pahalia paheli pakistan parda Pashto phool poetry pyar question quotes raat rajni Rape raqeeb Rashid reason reply rishty ROMANTIC KISS sach safar Sali santa sardar SAWAL saza Sehri shakespear sham sharab shoaib SINDHI TOPI AUR AJRAK so gay socretes songs sorry Success Sunday Tabinda tanhai Tere Chehra teri qasam train trust udasi urdo Urdu valentine Veena wafa wapda waqat waqt wasi wife winter ya allah yaad yad sms ye watan Your heart was frozen zubaida
Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook