Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'hussain '

Wo jiska Mansab h

Wo jiska Mansab hi tha Imamat tu Lahja kitna Mateen hoga

Khuda ne Masoom jo banaya wo Ismaton ka Ameen hoga..

Luaab e Sarwar Lahu Ali ka .. BaTOOL ki goud .. Aur husn e Shabbar

yE saari cheezain mila kay socho Hussain kitna haseen hoga !???

250 chars (2 sms)


Khanna e rab me

Khanna e rab me imamat ka ka ujala utra
daikh kar shahkle ali chand ka chehra utra
Aaj bhi kaabay k chaker me hy masroof jahan
Ajj tak mola ali taira na sadqa utra

Sadaqaton ki nishani hussain hay
duniya me inqilab ka bani hussain hy
dushman ko jis nay apney lahoo say shikast di
Woh mard e haq woh haider e sani hussain hay

334 chars (3 sms)


Aye mavia mardood

Aye mavia mardood tu naakaam hogaya
Duniya main zikre Aal-e-Nabi aam hogaya
Meray Hussain per hain Durodon ki barishain
laanaaat teray yazeed ka anjaam hogaya

162 chars (2 sms)


Yazeed Mausam e

Yazeed Mausam e Isyaan ka La-ilaaj Marz
Hussain Khaak ko Khak e Shifa Banata Hai

Yazeed Aaj bhi bantay hai log Koshish Say
Hussain Khud nahi banta Khuda Banata Hai

168 chars (2 sms)


Momin ki har sada ko

Momin ki har sada ko taira intezar hay
eman ki baqa ko taira intezar hy
phr sajda e hussain ki hayat hay deen ko
aa ja ka la ilha ko taira intezar hy
parda hata k daikh mairey daur k hussain
haan aab bhi karbala ko taira intezar hy
Baichain zulfiqar hy beetab murtajis
Abbas e bawafa ko taira intezar hy
Tu hi suna sakay ga sahi maqtal e hussain
Har majlis e azza ko taira intezar hy

392 chars (3 sms)


Ghum e hussain har

Ghum e hussain har eik shahair har eik dariya gaya
Jahan qafila na pohncha wahan ghubbar gaya
Thi karbala me jang agar shahzadun ki
Qalam me dum hy to likhoo hussain har gaya

177 chars (2 sms)


Khushi ki bazm main

Khushi ki bazm main bhi ghum talaash kertay hain,
Dil-e-BATOOL s.a ka marhum talaash kertay hain,
Maza mila hay aazaa-e-HUSSAIN a.s se itna,
Hum eid main bhi muharram talaash kertay hain

190 chars (2 sms)


Ye Aitbaar Meri

Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke Safar Ki Hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur Hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai

163 chars (2 sms)


Kala Kala Na Kar

Kala Kala Na Kar Zeada Waiz
Jo Kehta hoo Ghaur Se Sunle
Gar Aaj Gham e Hussain Me Na Roya
To Kal Mehshar Me Girgirana parega

128 chars (1 sms)


Hassan ko Badshah khas

Hassan ko Badshah khas o Aam kehte hain
Ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain
Daleel aik hi kafi hai unki Azmat may
unhe Hussain bhi apna Imam kehte hain

157 chars (1 sms)


Zarurat Thi Talwaar Ki

Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki

171 chars (2 sms)


Farzand-e-Ali Imam Hussain

Farzand-e-Ali Imam Hussain a.s. Ne Fermaya.

Aisay Shakhs Per Zulm Keray Say Muhtat Reho Jiss Ka ALLAH K Siwa Koe Na Ho

121 chars (1 sms)


Kul AMBIYA Ki Wafa K

Kul AMBIYA Ki Wafa Ko
HUSSAIN Kehte Hyn

KHUDA Ki Khaas Ada Ko
HUSSAIN Kehte Hyn

yazeed Naam Hy Dunya Ki
Kul Nijasat Ka

Taharato''n K KHUDA KO
HUSSAIN Kehte Hyn ...

177 chars (2 sms)


Saba Bhi Guzry Jo

Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se
Tou Us Ko Kehta Hy Arsh Wala

Tu Aur Dheery Guzar Yahan Pr
Mera Hussain So Raha Hy

116 chars (1 sms)


Kausar k Saaqi ka w

Kausar k Saaqi ka wo
Nawasa HUSSAIN tha

Karbala k dasht main
pyasa HUSSAIN tha

Baadal yazeediat k jo
pheley chaar suu

Un main chamakta ek
sitara HUSSAIN tha

Karta wo kese haath
pe bait yazeed k

Us waqt sab se
Arfa-o-aala HUSSAIN tha

Hilney Laga Tha
Arsh-e-ELAHI bhi Us Ghari

Jab Karbal Ki Rait Pe
Tarpa HUSSAIN tha

Pardes main Shaheed
jisay kr dia gaya

Wo MUSTAFA (S.A.W) ki
aankho''n ka Tara HUSSAIN tha

442 chars (3 sms)


,,GO 14 august adalt adawat adult Ajnabi Ajrak allah pak allama iqbal anniversary attitude ay dil ay dost Baal badal badmashi badsha Bahon balochi bang baraf barish bewafaye bewafi Bhai bharosa bichar gay bike biwi ne kameez utari blessing bulleh shah bura nahi call cast chal chal be chale Choose Choot christmas sms chut color cool dadi dene Desh devil dhoka dhund dirty doori dosti eid ka din enjoy evening Fahad Faiz Fanaa faraz faraz in arabic faryad fill flirt Friday gadha gand ganj gareeb gazal ghalib Ghazal girls Good night wishes gujjar gurbat hair hand hansna happy birthday happy new year HATE HEAD heaven Helo husan husband i hate you I KISS U i miss u If You Really Love Someone Arrange intezar ishq islami jani joking jumma jungle ka badshah Kaha ho kashti khan sahab khata khobsort khushi LABO lamha larki Liar love love lost love sms lund madani phool mahak mahek mama manz Manzil Marna marne marriage married Marrige Masoom masroof ho maut miss you mohabbat Mohsin molvi mout muhbat naghmay Nahaya namaaz namaz NARAZ Naseeb Nawaz sharif new shadi New year sms New York Nishani pagal pakistan pareshaan pareshan pathan phol phool picture police professor to student punjabi sms pushto qasmain question raat ramzan reply river sach Sacha pyar Sagar sahib salary sali saqi sath school scolding send sms shaq sharab Sharafat songs spit Story sunday tarkhan tears tere hath se teri qasam thandi hawa Thanks tinda udas larki Urdu Util valen vote wada Wapda waqt wasi shah well come winter yaad yakeen ye watan zardari
Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook