Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'sa'

Koi tum se pooche

Koi tum se pooche kon hoon main,

tum keh dena koi khas nahi,

ik dost hai kacha paka sa,

ik jhoot hai aadha sacha sa,

jazbaat ko dhanpye ik parda sa,

bus aik bahana acha sa,

jeevan ka aisa sathi hai,

jo door na ho kar pas bi nahin,

koi tum se poochye kon hoon main,

tum keh dena k koi khas nahin.....!

328 chars (3 sms)


Raat kat''ti rahi

Raat kat''ti rahi Chaand chalta raha,

Aatish-e-hijar main koi jalta raha,

Tanhaiyaan dil ko dasti raheen

koi bey chain karwatain badalta raha,

Aas o umeed ki shama roshan rahi

Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,

Raat bhar chaandni gungunaati rahi

Raat bhar koi tanha sisakta raha,

308 chars (2 sms)


Geely kagaz ki tarha

Geely kagaz ki tarha zindagi hy apni,

koi likhta b nahi koi jalata bi nahi,

is qadar akeley hain ab hum bhi,

k koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.

161 chars (2 sms)


Unhei to fursat nai miln

Unhei to fursat nai milne ki humse-Aur humara waqt guzarta hai unki faryad kr k-

Agr aye vo mri maut pe to keh dena-''abi soya hai tume yad kr k''.

151 chars (1 sms)


Neend apni bhula k

Neend apni bhula k sulaya hum ko...

Aansu apney gira k hasaya hum ko..

Dard kabi na dena un hastiyon ko...,

ALLAH ne maa baap banaya jinko

148 chars (1 sms)


Wo baat Kyun Karun

Wo baat Kyun Karun JisKi Khabar hi na ho,

Woh Dua Kyun Karun Jiska Asar hi na ho,

Kaise Keh du Tujhe Lag Jaye Meri Umar,

Kya pata Agle Pal Meri Umaar hi Na ho.

169 chars (2 sms)


Tanha ho to Kabi

Tanha ho to Kabi mujh ko dhondna Dunyia se nahin apne dil se pochna Aas pas hi kahin basey rehtey hain hum yadon se nahi sath guzre lamhon se pochna

148 chars (1 sms)


Tu mera naam na poocha

Tu mera naam na poocha kar,
main teri zaat ka hissa hun,
main teri rooh main shamil hun,
main teri neend ka qissa hun,
main tere khuwab ka hasil hun,
main teri yaad ka mehvar hun,
main teri saans ka jhonka hun,
tu manzar main pas-manzar hun,
main lamha hun,main jazba hun,
jazbay ka koi nam nahi,
tu mera naam na poocha kar!!

336 chars (3 sms)


Agar yeh jan-na

chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........

429 chars (3 sms)


Rishta Wohi Purana Par

Rishta Wohi Purana Par Tum Kuch KHASS Lagte Ho,

Aankho Se Door Sahi Magar Dil Ke PASS Rehte Ho,

Mujhe Bas Itna Bata Do,

Kya Tum Bhi hamare Bina UDASS Rehte Ho??

170 chars (2 sms)


Main Tumhary Saath

Main Tumhary Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah...
Mujhay Buss Itna Kehna Hai,Kabhi Main Yaad Aaon Tou...

Kabhi Tanhai Ki Ratain Tumhen Ziyada Sataen Tou...
Kabhi Titli Na Bolay Tou, Aur Jugnou Lout Jaye Tou
Kabhi Jab Dil Bhi Bher Jaye,Koi Jab Sun Na Paye Tou...
Kabhi Sab Dost Sathi Bhi Jo Tum sey Routh Jain Tou

Kabhi Jab Khud Sey Larr Kar Thakan Sey Chour Ho Jao Tou...
Kabhi Chahtey Hoey Bhi Khud akelay Roo Na Pao Tou
Apni Ankhon Ko Band Karna Aur Mujhay Awaz Day Dena...

Phir Meray Tasawur Sey Jo Chahey Batien Keh Dena
Meray Kandhey Per Sar Rakh Ker Jitna Chahey Roo Lena...

Jab Main Khud Lout Jaon Tou,Apni Duniya Main Chaley Jana
Mager Buss Itna Kehna Hai K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Main

713 chars (5 sms)


Tamam umar zindagi se

Tamam umar zindagi se door rahe,

Teri khushi ke liye apni khushi se door rahe.

Ab is se barh kar wafa ki saza kya hogi,

Keh tere ho kar bhi tujhse door rahe.

167 chars (2 sms)


suno khudh se mughay

suno khudh se mughay tum juda na karo
meri mohabbat ko tum youn ruswa na karo

ye sab khel hain taqdeer ke Milan aur judai
per tum to apni zindagi se mughay juda na karo

mana bohat khudh garz hun aur khush faham bhi main
per tum bhi mere sitam ko youn saha na karo

saza do mughay tum meri berukhi ki zaroor
magar aise mugh se apne mun ko tum mora na karo

janta huun tanha hai sabhi ki sada se ye zindagi
aise khamosh rehker use aur tanha na karo

462 chars (3 sms)


Kl Halki Halki Barsh thi

Kl Halki Halki Barsh thi,

Kl Srd Hwa ka Ruqs B Tha,

Kl Phol b Nkhray say Thy,

Kl Un Mai ap Ka Aks b Tha,

Kl Badal Kaly Ghry Thy,

Kl Chand Py Lakho Phry Thy,

Kch Tkry ap ki Yado K,

Bari Dair sy Dl Mai Thehry thy,

Kl Yadai Uljhi Uljhi The,

Or Kl Tk Ye Na Sljhi The,

Kl Yad Boht Tm aye Thy,

317 chars (2 sms)


Hum aksar ye samajhtay

Hum aksar ye samajhtay hain
Jisay hum pyar kertay hain
Usay hum bhool bathay hain
Mager aisa nahi hota
mohabbat daimi such hay
mohabbat tehar jati hay
Hamari baat k ander
Mohabbat baith jati hay
Hamari zaat k ander
Mager ye kam nahi hoti
Kisi bhi dukh ki surat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki thandak mein
Udaasi ki zaroorat mein
Kabhi barish ki surat mein
Hamari aankh k ander
Kabhi ab-e-rawan ban ker
Kabhi qatray ki surat mein
Bazahir aisa lagta hay
usse hum bhool baithay hain
magar aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye hargiz kam nahi hoti...

612 chars (4 sms)


acha dost adalt adhi raat afsos allah pak alone altaf April fool Asif attitude ay dil Badmash balochi beauty believe best friends bewafa bhaga bharosa bike Bister bivi boys brother bura nahi busy ho Chahat chai chinees Choot CHUT color cricket Dadi Dard daru december dene dhoka dil dil pakistan doori Dost dosti dosto Duwa ehad ehd e wafa eid ka din eid mubarak emotional english evening Faiz faraz fever fight flirt forward friendship funn Funny gadha gand Gandi ganja gareeb ghazal girl girlfriend Girls golden words good morning good night hair hand hansna happy birthday Happy dewali Happy new year HATE hazrat ali hazrat mohammad heart heaven hello! husan husband i hate you I KISS U I LOVE U I love you i miss u if you really love someone arrange ignore inteha intezar janaza jani jannat jism juda jumma kafan kanjoos kare kashti khali hathon ko kabi gor se dekha hai khat Khata KHUSHI khushiya King Kiss kissing LABO Ladki life little love lost love Love love lost Love sms lover mama manz marne marriage Married masjid Masoom Maut Meer miss you mohsin Momin mother mountain Mout muhabbat mulakat naam naraz Naseeb nawaz New year sms november pagal pareshan Pathan pepsi phatan picture Punjabi quotes ramzan result rishty romantic safar sahil sali samandar sanam santa saqi sardar SAWAL school sehri shadi shadow sharab shayari shohar socretes songs Story tabo tasveer taxi teachers teri dosti Thanks trust umeed urdu ustad view wada wafa wapda waqat wife winter without you ya allah Yaadain ye watan Your heart was frozen zardari
Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook