Sahi Kiya Na
Ram scooterwaale se: tumhe teek se signal dena aata nahi hai kya?
Scooterwaala: kyu?
Ram: pehle left signal diye aur baad me right de rahe ho, lekin seede hi jaa rahe ho.
Scooterwaala: arey bhai, mujhe seedhe jaana tha. lekin galti se left signal kiya. phir use cancel karne ke liye right signal diya. to sahi kiya na?
by Pak101.com (few years ago!) / 1118 views
Similar Jokes
Biwi ne shohar ko phone kiya: kahan hain aap?
Shohar: tumhain who jewellery shop yaad hai jahan tumhain ek diamond ka set pasand aya tha?
Biwi (khushi se): haan haan mujhe yaad hai :)
Shohar: mei us k saath wali shop mein baal katwa raha hon
by Pak101.com (few years ago!)
Santa ki chhatri me hole tha,
Banta ne pucha: umbrella me hole kyu hai?
Santa: Oye, baarish ruk jayegi to pata kaise chalega
by Pak101.com (few years ago!)
Ek ganje k sar par do bal the.
Dono ko aapas me pyar ho gaya,
shadi karna chahte the.
Magar nahi kar paye....
Batao kyun?
Kyun ki Bal Vivah apradh hai.
by Pak101.com (few years ago!)
Joke: Shadi ki taqreeb mein dulhan ka pehla mangetar bhi bara sajh dhaj ke aaya howa tha .
aik sahib neh poocha :kya dulha aap hain?
jee nahi. mein to Simi final mein ho knock out ho gaya tha
by Mazhar Khan (few years ago!)
Ek pathan Cycle chalate aur gungunate howe kahin ja raha tha rastae mein ek aurat se takra betha.
Aurat chilla kar boli, “Break nahi maar sakte they kya ???”
Pathan herat se… “Pora cycle mar deya abhi break mar kar kia faida.”
by Pak101.com (few years ago!)
Ek chota baccha bahut der se ghar ke bahar khada darwaje ki ghanti bajane ki kosish kar raha tha.Toh ek budha aadmi aaya aur kaha:
Budha aadmi: Kya kar rahe ho beta?
Baccha: Uncle, yeh ghanti bajana chahta hoon.
Budha aadmi (ghanti bajake): Yeh lo bajgaya, ab kya hai?
Baccha: Ab bhago!
by Pak101.com (few years ago!)
I Like 3 Things In My Life:
1) Biryani
2) Pepsi
3) YOU…
Reason: Biryani 4 Eating…
Pepsi 4 Drinking…
YOU . . Oye Hoye…
Bartan Kon Dhoye Ga? You.. :-D:-) :P
by Mazhar Khan (few years ago!)
Sardar: Doctor help me, mein jab baat karta huun
to muje sirf awaaz sunaideti hai, aadmi nahi dikhta.
Dr: Aaisa kab hota hai?
Sardar: Phone karte waqt.
by Pak101.com (few years ago!)
Santa Ki Patni Apne Ghar Par Do Extra Bister Laga Rahi Hoti Hai To Santa Ye Dekh Ke Pappu Se Puchta Hai.
Santa: “Pappu, Aaj Teri Maa Do Bistar Kyun Laga Rahi Hai?”
Beta: “Papa, Ghar Pe Do Guest Aane Wale Hai”
Santa: “Kaun Aa Raha Hai?”
Beta: “Mummy Ka Bhai Aur Mera Maama”
Santa: “Achha, Phir Ek Aur Laga Lo, Mera Saala Bhi To Aa Raha Hai“
by Pak101.com (few years ago!)
They say that marriage makes a man dizzy, and it`s true. As soon as I got a wife, I lost my balance at the bank
by Pak101.com (few years ago!)