Blue dant
Admi:Santa aap ka aik dant blue Q hai?
Santa:Yaar main ne ink lagayi hoyi hai,
Admi:Hain! Wo Q ji
Santa: oye khoty "bluetooth" da zamana hai.
by Tanveer Hussain (few years ago!) / 947 views
Similar Jokes
Ek din Mummy ne Chunnu se kaha,"bete,tumhare mama ane waale hain to bazar se kuch khaane ko lao."
Chunnu bazaar se samose, nimbu aur kele le kar aaya..
Aate-aate usse bhook lagi toh woh samose kha gaya..
Fir bandar kele le gaya aur nimbu gutter mein gir gaya..
Ghar aakar Mummy ne poochcha: Kya lekar aaye?
Chunnu bola: Damadam mast kalandar, samose pet ke andar, kela le gaya bandat, nimbu gutter ke andar!
by Pak101.com (few years ago!)
Q: Why did the monkey cross the road?
A: So he could get spanked.
by khalid hussain (few years ago!)
1 Chor,Police se chupta hua 1 tuti Qabr me lait gya.Qareeb se kuch Pathan guzray to unho ne socha ke shayed log Mayat par Matti dalna bhool gaye.
Fatta fatt Matti dalna shuru kar di. Chor bola:
“Bachao Bachao”
Pathan:
“Oh Khocha Jaldi Jaldi Matti daalo is par to Azaab shuru ho gaya ha..
by Pak101.com (few years ago!)
Teacher:beta ap k papa ki karte hain?
Boy:jo mummy bolti hai.
by Sabir shah (few years ago!)
Doctor sahab ek mareez ko dekhtey hi boley, “Aap ko to ainak ki zaroorat bohat arsey sey thee, laikin aap nazar test kerwaney aaj aaey hein”
“Kamaal hey”, mareez ney hairaan ho ker kaha, “Aap ko yeh baat muaina kerney sey pehley hi maloom ho gyee, aap yaqeenan intehai tajarba kaar doctor hein”
Doctor: “Is mein tajarbey ki koi khaas baat nahi, agar aap bahar laga hua board parh saktey to aap ko maloom ho jaata key mein mahir-e-imraaz-e-niswaan hoon”
by Tanveer Hussain (few years ago!)
Pathan ne Ghar ka Darwaza ukhara or kandhe pe rakh k Bazar me gaya
1 Admi ne poucha: Khan, Kia Darwaza Bechna hy
Pathan: Nhi yara, Tala Khulwana hai
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Sachin ki century nahi hone denge
Afridi: Hum Sachin ko kissi bi haal main Century ki century nehi bananey dey gey.
Shoaib: Magher hum usey rokey gey kaisey!!!!! wo tu gazab ki form main hai?
Afridi: Hum 100 key andur hi all out ho jaey gey
by Pak101.com (few years ago!)
Jab Bhi Koi Bachha Paida Hota Hai To Sare Khandaan Wale Use Dekhne Aate Hai.
Bachhe Ka Baap Bete Ko God Mein Utha Ke Bolta Hai
“Mere Bete Ka Chehra To Mera Pe Gaya Hai”
Maan Pyar Se Dekh Kar Bolti Hai
“Iss Ki Aankhein Mere Pe Gayi Hai”
Bachhe Ke Mama Dekh Ke Bolta Hai
“Is Ke Haath Paon To Bilkul Mere Par Gaye Hai”
Chacha Bhi Dekhta Hai Aur Bolta Hai
“Arey Iski Muskurahat To Bilkul Mere Jaisi Hai”
Phir Jab Wohi Bachha Bada Ho Kar Ladkiyaan Chedta Hai To Sare Khandan Wale Kehte Hai
“Pata Nahi Ye Kameena Kispe Gaya Hai?“
by Pak101.com (few years ago!)
1 Khargosh 1 Lohaar Ko Tang Krta Tha
Roz Lohaar Ki Dukan P Jata Or Kehta:
GAJAR Hai?
Lohaar Inkar Kar Deta.
1 Din Lohaar Ko Ghussa Aya
Aur Us Ne Khargosh K Dant Torr Diye.
Phir
Phir Kya…
Agley Din
Khargosh Aya
Aur Bola:
GAJAR KA JUICE HAI
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Pathan 2 shopkeeper: Bhai sahb 1 rupia ka Easy Load kardo
.
Shopkeeper: 1 rupey ke load se kesi ko call karni hai ya msg?
.
Pathan: Karna tu kuch bhi nahi,
Bus aisy hi paisy urany ki adat hai
by Haris abbas Qureshi (few years ago!)