Snta & Bnta moving on road at 12midnight
Snta & Bnta moving on road at 12midnight
Snta:Bahut garmi he yaar
Bnta:HA yaar
Din hota to kahi chhao me baith jate.
by Pak101.com (few years ago!) / 878 views
Similar Jokes
Dr:Ne 1 Pagal Se Pocha:
Tum Chhat Se Q Latak Rahe Ho?
Pagal:Mai 1 Bulb hun
Dr: Tum Jal Q Nahi Rahe?
Pagal:Bewkuf Yeh INDIA h Light gyi hui h.
by Pak101.com (few years ago!)
Those who are too smart
to engage in politics
are punished by being GOVERNED
by those who are dumber.
by Abdul Sami (few years ago!)
Doctor: Dekhiye aapke pati ko rest ki zaroorat hai….yeh sleeping tablets leejiye….
Wife: Unko yeh kab dena hai doctor ?
Doctor: Yeh unke liye nahi, aapke liye hai….
by Pak101.com (few years ago!)
Santa : Judge Saab
Mujhe TALAAQ Chahiye
Meri Biwi Ne 1 Saal Se Mujhse Baat Nahi Ki
Judge :
1 Bar Phir Sochle Beta
Aisi Biwi Nasib Walon Ko Milti He
by Pak101.com (few years ago!)
Baap: mujhe apni report card dikhao
Beta: Mere dost ne mujhse udhar li hui hai
Baap: Wo kyun?
Beta: Kyunki wo apne parents ko darana chahta hai
by Pak101.com (few years ago!)
Ek Ladka Aur Uski Girl Friend Garden Mein Hath Mein Hath Dale Baithe The.
Girl Friend: “Jaanu, Koi Aisi Baat Karo Ki Dil Ki Dhadkan Tej Ho Jaaye”
Boy Friend: “Abe Bhag Aaj To Tu Gayi, Tera Baap Aa Raha Hai“
by Pak101.com (few years ago!)
Marriage Broker: Tumhe kaisi biwi chahiye?
Man: Mujhe chand jaisi biwi chahiye, jo raat ko aaye aur subha chali jaye!
by Pak101.com (few years ago!)
Larkay waly:
bus g juldi se shadi kr daen.
Larki walay:
Nai abi larki parh ri hy
Larkay walay:
To hamara larka kon sa kaka hy jo kitabein phaar dy ga:-).
by Tanveer Hussain (few years ago!)
aik fakir aik admi se behk mangte hoye bola Allah ke naam par kuch de do,baba aap ki rozi main barkat ki dua Karen gain.
admi foran bola baba jee apne liye bi dua kar lijye.
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Ek newspaper me chapa"50%" "ladkiya bevkof hoti hai" Is pr ladkiyo ne khub halla machaya.
Fir chapa"50% ladkiya bevkuf nahi hoti" tab jakr ladkiya shant hui.
by Pak101.com (few years ago!)