La Jawaab Nuskha
Afghanistan mein posted saabiq amreeki general McChrystal dismiss honay ke baad apnay hajjaam se baal katwa raha tha, hajjaam baar baar kahta.."Taliban.....Afghanistan"
Teen chaar baar sunnay ke baad saabiq jeneral ne hajjaam ko toka:
"ye tum har thorhi dair baad kion kahtay ho "Taliban, Afghanistan"?
hajjam haath jorh ker bola:
"sir, aap ke baal jism se chipkay huway hein, jub mein Taliban or Afghanistan ka naam leta hunn to khof se aap ke baal kharhay ho jaatay hein or yunn mein aasani se baal kaat leta hunn."
by Pak101.com (few years ago!) / 1036 views
Similar Jokes
Banta was driving his car on d road. Traffic inspector stopped him
B: I'm learning car driving
Insp: Without d instructor?
B: Correspondence Course
by Pak101.com (few years ago!)
Beti: Ammi mera Teacher Kitna pyara hy na
Ami: Beti Teacher Baap k Barabar Hota hy.
Beti:AMMI Aap Hamesha apne hi ChaKKar me rehna,Hamare Lye Na Sochna
by Pak101.com (few years ago!)
Ek sardaar jee bus mein jaa rahey hotey hain aur neechey waaley hissey mein bathai huey they.
Upar sey awaaz aai, "Shamshaad!" Sardar ney apna sar bahir nikaala to upar sey ek chamaat para.
Phir thori deir baad ek aur dafa kissi ney chil laya, "Shamshad!" Phir Sardar ney apna sar bahir nikala aur chamaata parra. Baraabar key aadmi ney poocha, kiya tumhaara naam Shamshad hai? Sardar boley, nahin mein ussey bewaqoof bana raha thaa.
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Ek charsi ki bakri gum ho gai bohat talash kya magar nhi mili,
Sham ko ghar aaya tou bakri samne bandhi hui thi,
Ghuse mai aa kar bakri zibah kar di,
Khud bhi khai or doston ko bhi khilai,
Jab subha so kar utha tou dekha bari sahi salamat khari thi,
Aur kuta gayeb tha……
by Mazhar Khan (few years ago!)
Gahak: (doodh waly sy)
Tumhari gaay kita doodh deti he
Doodh wala: 5 kilo
Gahak: is main say kitna bech letey ho?
Doodh wala: yehi koi 12 kilo
by Pak101.com (few years ago!)
Doctor Ne Pathan Ko Samjhaya Ke Agar Wo Roz 3 Km Chale To 1 Saal Mein 50 Kg Wazan kam Ho Jaye Ga.
1 Saal Baad Pathan Ne Doctor Ko Call Ki,
Doctor Sahib Wazan To Kam Ho Geya Hy Magar 1 Problem Ho Gayi
Dr: What problem.
Pathan: Khocha Ham Apna Ghar se 1100km Door Pohanch Geya Hy…
by Mazhar Khan (few years ago!)
Me is liye achi chaye
nai banati ke kaheen
larkey wale haan na karden
by @irha@ (few years ago!)
Ek Sardar ko Khali msg Aaya
Sardar nai usi number per call kar k kaha:
pai G! Twano maloom hai???
Twady Mobile di INK khtam ho gae ae.
by Pak101.com (few years ago!)
Aik sabzi farosh kay han bachah paida hua. Parosi waghira dekhnay kay liye aaye huye the.
Aik khatoon nay pucha: bhayi saheb bacha kaisa hai?
Sabzi farosh nay kaha: bilkul taza hai.
by Tanveer Hussain (few years ago!)
Ajeeb hain tere nakhre
~
ajeeb hain tere style
~
naak pochnay ki tameez nai
hathon mein hain mobile
by Sabir shah (few years ago!)